Namaskar Dosto kaise ho aap log umeed karta hu sab bhadiya hi hoge and apka swagat hai JTMkaro ! Me Dosto aaj hum kuch aise technologies ke baare me baat karne wale hai jo ki 2019 me aa sakti hai.
Dosto aaj ka zamana technology ka zamana hai kyuki aaj har koi technology ka use kar raha hai and aaj ke time me ham wait karte rehte hai ki yaar koi nayi technology aaye jis se hame aur bhi jyada benefit mil sake.
Dosto har company chahti hai ki agar koi new technology aaye to sabse pehle ham uska use karke users ko attract kar le and user fir hamare products ka jyada use ker sake.
To dosto ab naya saal aa chuka hai and yaha pe kafi companies bahit saalo se lagi hai luch nayi technologies ko develop karne me and hame umeed hai ki 2019 me ye technologies develop hoke ham sabhi ke samne pesh ho jayegi and fir ham inn technologies ka use ker payege.
To Dosto aaj ham kuch aise technologies ki baat karne wale hai jo ki 2019 me aane wali hai and mujhe lagta hai sahayad ka sabhi ko inn technologies ka intezaar hai.To chaliye jante hai vo konsi technologies hai.
1.5G Technology :
![]() |
5G NETWORK |
Dosto ham sab ne 2018 me 4G ka to bahut maza udaya kyuki jio ne hame pure 1 year ke liye free 4G internet jo diya.Shayad ham uss free internet wale time ko kabhi nahi bhul payege.But ab yaar 4G to bade maje se use kiya lekin ab baari hai 5G ki.
To dosto abhi iss time sabhi comapnies means mobile manufacture comapany,processor company,and telecom operators me kafi challange wali baat ho gayi hai kyuki sab companies chahte hai ki sabse pehle 5G services to ham hi launch karege.
Dosto agar ham baat kare ki 5G mobile ki to hame pata nahi hai ki 5G mobiles kab tak launch hoge lekin agar ham baat kare 5G sims ki to Airtel aur Jio ne to announce bhi ker diya hai ki unki 5G Network ready hai but unme kuch papaerwork reh gaya hai.To aise me 5G Network ko lauch hone me jyada time ab nahi lagne wala hai.
And apki jankari ke liye batau to Nokia ne bhi 5G service ko introduce ker diya hai jisme 5G Network ki speed 19GBPS tak pahuch gayi hai.
2. 3D Camera Technology :
![]() |
3D Camera technology |
Dosto jaisa ki aap jante hai jab bhi ham koi mobile kharidne jaate hai to ham uske camera sabse pehle dekhte hai ki uska camera accha hai ki nahi.Dosto jaisa ki aapne dekha hoga ki mobile comapnies me bhi camera ko lekar competition laga rehta hai ki kon sabse pehle jyada megapixel ka camera lauch karega.
Dosto ab baat aati hai camera ki new technology ke baare me jo ki apko 2019 me apko dekhne ko milegi.To dosto 2019 me apko 3D Camera sensor wale phone dekhne ko milege.Dosto abhi tak kuch badi companies ne 3D Sensor TOF camera ki shuruat ki thi lekin ab apko 2019 me mid-range phones me bhi apko 3D Camera technology dekhne ko mil jayegi.
3.Foldable Smartphone & Laptops :
![]() |
foldable mobile and laptop |
Dosto aaj ke time me ham sabhi bhadiya-bhadiya smartphones or laptops ko use kar rahe hai but vo smartphone sirf ke plane surface ke hote hai.
But 2019 me apko foldable smartphones and laptops dekhne ko milege.Jo Ki bilkul fold ho sakte hai like jab ham ek notebook ko close karte hai theek vaise hi ham unn smartphones ya laptops ko bhi aise hi fold ker sakte hai.
Dosto 2018 me samsung comapny dwara foldable smartphone ko introduce kiya gaya tha lekin 2018 me ye aam users ke paas nahi aa saka.Lekin samsung ne kaha hai 2019 shuruati mahino me hi vo apna foldable phone lauch kar dege and samsung ke alawa bhi kai badi comapnies jaise LG,APPLE bhi iss concept per work ker rahi hai.
To Hame puri umeed hai ki 2019 me foldable smartphones ko aap bhi use ker paoge.
4.Self Driving Cars :
![]() |
Self driving Cars |
Dosto cars to ham sabne dekhi hi hai ham sadak per chalte hai to vaha per hame haaro cars dikh jati hai.Lekin unn cars ko driver chalata hai kehne ka matlab ye hai ki unn cars ko bina drivers ke nahi chalaya ja sakta hai.
Lekin kya apne socha tha kabhi ki ek din car bina driver ke bhi chal sakegi.Ji ha dosto ye technology per kafi jyada development chal raha hai.
Dosto apne pichle years me Google ke self driving experiments ke baare me to jarur suna hi hoga kyuki ye itna charcha me raha tha and aur bhi kai badi automobile comapnies bhi announce ker chuki hai ki vo self driving cars per work ker rahi hai.Dosto apki jankari ke liye bata du ki kai foreign countries me self driving cars ka use kiya jaa raha hai and sabhi pehli auto pilet function wali car menas self driving car tesla dwara launch ki gayi thi.
Lekin iss car ki kafi kam units banayi gayi thi kyuki uss time tesla sirf self driving cars ko test karna chahti thi.But india me abhi tak kisi bhi company ne self driving car lauch nahi ki hai.
Dosto apki jankari ke liye batau to self driving car apne direction ke liye virtual maps ka use karti hai and driving ke liye usme har type ke sensors lage rehte hai.To inn dono technique ki madad se self driving car chalti hai.But ab ye dehna hoga ki kab tak ham self driving cars ko apne samne dekh pate hai
and ye baat kehne me galat nahi hogi ki jald hi self driving cars hame apne samne dekhne ko mil sakti hai.
5.Helicopter Air Taxi:
![]() |
helicopter air taxi |
Dosto udne wali bikes and cars ke baare me to jaurur suna hi hoga kuiki ye itni charcha me jo reh chuki hai but dosto ab technology ka zamana hai to apko 2019 me isske ek kadam aage ki technologies dekhne ko mil sakti hai matlab ab apko flying taxi bhi dekhne ko milegi.
Dosto helicopter banane wali ek company'BAIL' ne to udne wali taxi ka prototype bhi ready ker liya hai.Dosto iss flying taxi me jyada 4 logo ki jagah hai and apko ko bahut jankar kushi hogi ki ubar abhi se hi helicopter air taxi ke sath partnership karne ke liye ready hai.
Hame umeed hai ki 2019 tak hame flying taxi bhi jarur dekhne ko milege.
6.Full Bazel less Mobile Screen :
![]() |
fully bezel less smartphone |
Dosto jaisa ki aap sab log jante hai ki 2018 me apko notch wale phone kafi jyada dikhaye diye sabse pehle notch wala phone IPHONE X tha phir iske baad to saari samartphone companies apne phones me notch lagane me jut gayi har koi apne phone me notch dene laga.
But 2019 me apko full bezel less phone dekhne ko milega matlab phone ke front panel me apko sirf screen hi dekhne ko milegi jo side me black borders hote hai vo bhi hat jayegi na koi button hoga aur na hi front camera pehle phone ke upar front camera hota tha but ab bezel less design dene ke liye isse niche rakha jayega and jab aap apna camera app on karege tabhi ye activate hoga and ye apko 2019 ke last tak dekhne ko mil jayega.
#Last Words :
Dosto aaj hamne kuch aise technologies ki baat ki jo ki 2019 me aane ki puri sambhavna hai.And sirf ye hi nahi apko 2019 me aur bhi kai nayi technoliges bhi dekhne ko milege but dukh ye hai ki ab jab 5G aane ki baari hai to ab hamara 4G bhi out-dated ho jayega and ab agar hame 5G use karna hai to naya mobile aur nayi sim buy kani padegi.
Dosto iss article ko padne ke liye bahut bahut thanksand umeed hai apko ye aticle pasand aaya hoga agar pasand aaya ho to ek comment karke jarur bataye :)
No comments:
Post a Comment