Friday, 4 January 2019

Facebook aur Whatsapp Paise Kaise Kamate hai

Facebook aur whatsapp paise kaise kamate hai

Namaskar dosto kaise ho aap log vaise to puchne wali baat hi nahi hai aap sabhi acche hi hoge and dosto welcome to JTMkaro! Dosto aaj ham baat karne wale hai ki duniya ke sabse bade social networking platforms whatsapp and facebook akhir paisa kaise kamate hai.

Dosto aaj ke time me apko har kisi ke mobile me apko whatsapp or facebook to jarur nazar aa hi jayege.Agar hamare yaha koi festival ho to ham aaj ke time me whatsapp ya facebook ka hi use karte hai ham whatsapp ya facebook ke dwara hi friends se baat karte hai

Aajkal to logo ka call karna bhi band hota dikh raha hai kyuki ab to saari baat whatsapp ya facebook per hi ho jaati hai.Ham dinbhar issi ko hi use karne me nikal dete hai

But dosto kya apne kabhi socha hai ki na to facebook kabhi hamse facebook chalane ke 1rs bhi leta hai na hi whatsapp hamse whatsapp chalane ke paise leta hai to akhir kar whatsapp aur facebook paise kaise kamata hai ye question apke dimag me ye question jarur aata hoga

To chaliye aaj jaan hi lete hai ki whatsapp and facebook paise kaise kamata hai.Dosto sabse pehle whatsapp ke baare me ham jante hai ki whatsapp kaise paise kamata hai.




#Whatsapp Kya Hai :

Dosto sabse pehle hame ye janne ki jarurat hai akhir kar whatsapp hai kya.Dosto whatsapp ek social sharing app ha jaha per aap apne friends ke sath videos,photos,files,etc. Ko send ker sakte ho.

Jaise aap facebook me apne friends bana sakte ho but whatsapp per aap unhi ko message bhej sakte ho jiska phone number apke phone me save hai unhi ko hi message send kar sakte hai.

and whatsapp ka use ios,android and pc me kiya jata hai and aaj ke time me agar hame koi document ya file chahiye hoti hai to ham bol dete hai jaldi ye file whatsapp ker do and dosto whatsapp per ham family groups,friends group ya office group banakr group chat bhi ker sakte hai.Whatsapp ki shuruat 2009 me hui thi and aaj iske aaj 8crore se jyada users active hai.

#Whatsapp Paise Kaise Kamata Hai:

Dosto jaisa ki maine abhi bataya ki whatsapp kya hai and whatsapp aaj ke time ka kitna bada social metworking platform hai.Dosto jab whatsapp launch hua tha matlab jab whatsapp ki shuruat hui thi 2009 me tab whatsapp kewal 1 year ke liye free the iske baad whatsapp 1 year ka 1 dollar leta tha.

Uss time ye whatsapp facebook company ka nahi tha.But dosto facebook ko whatsapp ke pehle sabse bada social networking platform mana jata tha but jab whatsapp launch hua tab log facebook se hatkar whatsapp ko use karne lage the kyuki uss time facebook se jyada whatsapp use karne me simple tha and koi bhi isse assani se use ker sakta tha.

And fir mark zukerberg ko laga ki unki company kahi loss me na chale jaye to unhone whatsapp ko kharidne ka faisla liya and jab whatsapp ko mark zukerberg ne kharid liya fir whatsapp ko bilkul free ker diya ab users ko whatsapp chalane ka ek paisa bhi nahi dena tha.

But dosto aap jo bhi whatsapp me message send karte ho,photo bhejte ho,vo facebook record ker leta hai and apke message me jo important keywords hote hai unhe whatsapp ek jagah store ker leta hai jiss se whatsapp ko pata chalta hai ki apka interest kya hai or aap ko kya pasand hai kya nahi and fir whatsapp ye information dusri comapnies jaise flipkart,google,amazon,etc. jaise companies ko sell kar deta hai.

Jiss se vo companies apko apke interest se releated ads show ker sake and un companies ko bhi bahut jyada profit ho sake.

To iss tarah whatsapp paise kamata hai whatsapp apse paise nahi mangta balki apke interest ko sell karke paisa kamata hai.

To chaliye whatsapp ka to hamne jaan liya ab jante hai ki facebook kaise paise kamata hai.

#Facebook Kya Hai :

Dosto facebook bhi whatsapp ki tarah hi ek social media platform hai jaha per aap apna facebook per account banakar and uss account per apni facebook profile create karke usme photos,videos,etc. upload ker sakte hai and iske madad se aap apne friends,family se touch me reh sakte hai chahe vo duniya ke kisi kone me kyu na bethe ho.

#Facebook Paise Kaise Kamata Hai :

Dosto facebook paise advertising ke through kamata hai.Dosto jab bhi aap facebook use karte hai mobile ya pc me to apko feed yaani ki home me to apko vaha per apne friends ke posts ke sath sath beech me kuch posts dikhai de jaati hogi jo ki kisi company,service,ya kisi product ki hoti hai jaisa ki aap niche image me dekh sakte hai.


Dosto jaisa apne upar screenshot me dekha ki kaise ye ad aa rha hai and iss ad ke niche sponsered likha aa raha haiDosto facebook aaj ke time ka sabse bada social networking platform hai and facebook per billion users hai and agar kisi company ko ad dena hai to vo ek aisa platform choose karega jiske paas users ho to isliye sabhi companies jyadatar facebook ko hi choose karte hai advertising ke liye jiss se un companies ko bhi profit mil sake.Dosto niche diye gaye graph me aap dekh hi sakte hai facebook ki advertising income.
Dosto ye aap dekh hi sakte hai facebook advertising ke through billion dollar tak earn karta hai.

Dosto jab apko apni facebook home per koi aise post dekhti hai and jab aap uss per click karte ho tab facebook paisa kamata hai and kai ads to aise bhi hoti hai ki jab aap unn ads ko sirf bina click kiye sirf dekhte ho tab bhi facebook ko paise mil jaate hai.

Dosto aaj hamne jana ki facebook aur whatsapp paise kaise kamate hai dosto iss article ko padne ke liye apka bahut bahut dhanyavad umeed hai apko ye article pasand aaya hoga agr apke dimaag me koi bhi question hai to comment me batana na bhule thanks:)

No comments:

Post a Comment