Wednesday, 2 January 2019

Teamviewer Kya Hai Aur Teamviewer Ka Use Kaise Kare


Hello friends welcome to JTMKaro! dosto aaj me ek naya topic laya hu mene dekha hai bahut se logo ko abhi tak teamviewer ke baare me nahi pata hai to aaj me apko teamviewer kaise use karte hai vo batauga.

#Teamviewer Kya Hai :

teamviewer ek remote support/metting software hai aur ye software bilkul free hai simple sabdo me kaha jaye to aap apne ghar behte kisi dusre ka pc apne pc se chala sakte hai.manlo jaise khabi kisi ko problem aayi pc ke setting ki to aap apne ghar bhete hi apne screen se dusre ki screen chalakar usko problem online solve ker sakte ho.teamviewer ki madad se aap file transfer,remote control,online presentation de sakte ho.agar apke paas teamviewer ka paid version ke to aap 25 pc ki screen ek sath chala sakte ho aur mobile devices per bhi assist ker sakte ho.

teamviewer use karna bahut hi simple hai.bas apko kuch steps padne padege.to chaliye shuru karte hai ki kaise teamviewer use karte hai.



to sabse pehle baat aati hai teamviewer download kaise karte hai
to chaliye sabse pehle me apko batata hu teamviewer download kaise karte hai

step1- download karne ke liye sabse pehle  niche (download teamviewer)per click kare.

                                   download teamviewer

step2-click karne ke baad ek window open hogi



step3-ab thoda scroll down karke niche ek option aayega download teamviewer us per click kare.


step4-teamviewer download karne ke baad apne pc me install karle.

step5-install karne ke baad open kare aapke pc me ek screen open hogi teamviewer ki.

teamviewer chalu karne ke liye dono pc me teamviewer download hona chahiye matlab apke pc me bhi aur jisse aap connect karna chahte hai uske computer me bhi teamviewer install hona chahiye.

step6-


uske baad jo your id dikh rahe hai wo apki id he agar  koi person apki screen chalana chata ho to to apko apni id aur id ke niche jo password he wo share karna padega.


agar aap kisi ki screen chalana chahte ho to apko apne partner ki
id aur password pata hona chahiye.agar aap kisi ki screen chalana chahte ho to jo right side me black box ke andar partner id me apne friend ki id dalne hogi aur thodi der baad



ready to connect (secure connection )ki jagah connecting aane lagega phir thodi der baad awaiting authentication aayega ye aane ke baad apse password pucha jayega yaha pe apko wo password dalna hai jo apke partner ka password dale phir password dalne ke baad ok per click kare .ok per click karne ke baad apka remote control yani partner ki screen open ho jayegi.

Note: teamviewer use karne ke liye apke aur apke partner dono ke pc me net hona jaruru hai nahi to apka pc connect nahi hoga.

agar apko teamviewer use karne me koi problem aati hai to comment kare.vaise to teamviewer use karna simple hai per kai logo ko isme bhi problem ho sakti hai .agar koi bhi problem ho to comment kare ghabraye nahi ham apka comment ka jabab 24 ghante ke andar dege.

No comments:

Post a Comment