Saturday, 29 December 2018

Apni Life Me Ek Successful Person Kaise Bane

apni life me ek successful person kaise bane

Namaskar dosto welcome to jtmkaro! dosto aaj ham apne topic se kuch hatkar baat karne wale hai kyuki mujhe laga ki ye topic apke liye kafi important sabit ho sakta hai .

Dosto aaj ham baat karne wale hai ki ham apni life me success ko kaise achieve ker sakte hai.Dosto aaj ke time me har person chahta hai ki vo ek successful person bane and vo famous ban jaaye and desh me uska naam ho.

Lekin dosto koi insaan aise hi successful nahi ban jata apne ye to suna hi hoga 'har ek successful person ke piche uska bahut bada struggle hota hai' and kai log samjhte hai ki yaar vo to apne luck se success hote hai but dosto iske piche uski bahut mehnat hoti hai.

Dosto aaj ke time me kon nahi chahta ki vo ek badi si car me ghume,uska ek bada ghar ho,but ye sab tabhi possible hai jab ham ek succcessful person ho and dosto jo successful person hota hai vo hamesha rules and regulations ko follow karta hai and  kabhi bhi galat raste pe nahi chalta hai and dosto apko batana chahuga ki koi bhi ek din me successful person nahi ban sakta iske liye bahut time lagta hai.

Dosto kai insaan hote hai jo ek din me lakho rupay uda dete hai kyuki unko kuch fikar nahi rehti paiso ki but kai insaan aise bhi hote hai jo raat-din mehnat karte rehte hai phir bhi unke paas paiso ki kami rehte hai.

To dosto aaj ham apko kuch tips dene wale hai jo ki shayad apko ek successful person ban ne me kafi help ker sakte hai.

1.Zindgi me Kabhi haar na mane :

Dosto mene kai aise logo ko dekha hai jo ki sirf ek baar haar milne per udas beth jaate hai and fir inko lagta hai ki yaar ham to ek uncessful person hai.Dosto maan apne ek website banayi badi mehnat se but ab kya hua ki uss website pe trafficnahi aa raha matlab uss website ko dekhne ke liye ek bhi visitor nahi aa raha jabki aap uss website per raat-din mehnat ker rahe ho.

To ab aapke dimaag me ye question jarur aane lagega ki yaar ab to ye kaam chod deta hu mera to dimaag hi kharab ho gaya hai.

But jo bhi log aisa karte hai me unse sirf ek hi baat kehna chahuga jaise ham example se baat ker rahe the ki uss website per traffic yaani ki visitors nahi aa rahe the but yaar aap hi samjho visitors aaj nahi aayege kal nahi aayege lekin agar apka kaam accha hai and agar aap apne kaam ko mehnat se ker rahe ho to jarur ek din aisa aayega ki apke website per alkho visitors aayege and tab apko lagega ki ha jo mene pehle kaam chodne ka decision liya tha vo bahut galat tha.

To dosto kehne ka matlab ye hai ki aap apni zindgi me haar nahi mane bas apke kaam ko maan lagakar and mehnat se kareme 100% kehta hu apko aaj nahi to kal success jarur milegi.

2.Apne Talent ko pehchane :

Dosto jaisa ki aap jante hoge ki bhagwan har kisi ko upar se kuch na kuch talent ke saath bhejta hai and ham sab me koi na koi talent jarur hai but ham hamare andar chupe talent ko acche se samajh nahi pate .

Dosto kai insaan hote hai jo 100 years ki life jeete hai but unhone apni life me kuch bhi nahi kiya hota and iss tarah ek 20 saal ka insaan hota hai usne 20 saal tak bahut acche kaam kiye.ab aap hi bataiye ki kiski life jyada keemti thi 100 saal wale insaan ki ya 20 saal wale insaan ki.

Dosto aap ek baar apne maan se ye question jarur kare ki aap iss dharti per kyu hai apka janam kyu hua hai apko upar wale ne kis kaam ke liye niche bheja hai mujhe yaken hai apke maan se jarur jawab aayega.

Kyuki agar aap apne andar ki chupe hue talent ko bhar nahi nikalege to shayad aap apne jevan me kabhi successful nahi ban payege.

3.Kabhi apne ko dusre se compare na kare :

Dosto mene kai aise logo ko dekha hai jo ki har samay apne aap ko dusro se compare karte rehte hai .arre mere bhai kab tak apne aap ko dusro se compare karte rahoge.

Dosto aaj kal itna competition jo badh gaya hai ki ham apne aap ko dusre se compare kiye bina reh nahi paate.Ham dusro ko nicha dikhane me lage rehte hai ki ham uss se acche hai but jo bhi ye sab karta hai sach kehta hu vo apne aap ko hi ye sab karke nicha dikhata hai.

Kyuki dosto aap hi jante hoge ki har isaan ki apni apni quality hoti hai jaise koi isaan study me accha hota hai koi computer me accha hota hai to koi dancing me ya singing me accha hota hai.Isliye please dosto ye aapse meri request hai ki kabhi apne aap ko kisi se compare na kare agar aap apni life me ek successful person banana chahte ho to.

4.Kab tak sochoge ab kaam kana shuru kardo :

Dosto kuch log aise hote hai jo din bhar sochte rehte hai ki yaar kuch naya karte hai vo din bhar sapne sochte hai ki ham bahut aage jayege lekin mere bhai kab tak sochne me apna time waste karte  rahoge.

Agar apke maan me koi sapna hai to usse sapna hi na rehne de usse apne kaam me implement karne ki koshish kare matlab apka jo sapna hai usko sach karne ki koshish kare sirf uske baare me sochne se kuch bhi nahi hoga.

and agar aap soch rahe hi aap sirf sochne se hi ek successful person ban jaoge to aap bilkul galat soch rahe ho kyuki bina mehnat ke koi bhi insaan successful nahi ban sakta.

5.Kabhi Galat Rasta na chune :

Dosto kai logo ko lagta hai vo kisi shortcut se hi ek sucessful person ban sakte hai to dosto me aapse kehna chahuga ki agar success hone ka koi shortcut rasta hota to shayad aaj har person ek successful person hota.

and dosto me apse ye baat jarur kehta hu ki agar aap successful ban ne ke liye shortcut ya phir koi aur galat rasta apna te hai to isse apki zindgi bhi bardbad ho sakti hai To me apse sirf yahi kehna chahuga ki agar aap ek successful person ban na chahte ho to apne kaam ko imaandari aur mehnat se kare aap ek na ek din apni life me jarur ek successful person banege.

To dosto aaj mene apko kuch points bataye jo mujhe important lage ki apke sath share karna chahiye .

and dosto ye baat aap jarur dhyan rakhna ki koi bhi person ek hi din me sucessful person nahi ban jata usko ek successful ban ne me bahut intezaar karna padta hai but vo kabhi haar nahi manta apne kaam ko imeendari aur mehnat se karta hai apni zindgi me ek successful person banke dikhata hai.

Dosto iss article ko padne ke liye bahut bahut shukriya asha karta hu aaj se aap kabhi bhi shortcut ya phir koi bhi galat rasta nahi pakdoge successful person ban ne ke liye.

Thankyou:)

No comments:

Post a Comment