Hello dosto kaise ho aap sabhi log welcome to JTMkaro ! Dosto aaj ke iss article me ham IP address ke baare me puri jankari lene wale hai ki IP Address kya hai and iske kitne types hote hai aur bhi bahut saari jankari apko milegi iss article me IP Address ki .
Dosto Aaj ham sabhi log internet se jude hue hai.Koi internet business ke liye use karta hai to koi apne personal use ke liye internet ko use karta hai.Dosto per aapne kabhi socha ki itne saare log aaj ke time me internet ko use ker rahe hai jiski counting bhi nahi ki ja sakti.
But dosto kya aapne kabhi socha ki itne saare internet users ko kon sambhalta hoga and itne saare users ki pehchan kaise hoti hogi kya apne ye kabhi socha to chaliye aaj inn hi questions ke answers ko acche se samjhte hai.
# IP Address Kya Hai :
![]() |
IP Address Kya Hai : |
Dosto sabse pehle me aapko bata du ki IP Address ka full form INTERNET PROTOCOL ADDRESS hota hai.Dosto Jitne bhi ham devices chalate hai jisme internet chalta hai unn sab devices ka ek id hota hai uss id ko ham ip address kehte hai.
Dosto kya aapne kabhi socha ki internet se aap kuch search karte ho to apko vo hi information hi kyu milti hai koi aur information kyu nahi milti dosto aisa isliye hota hai kyuki jab bhi aap kuch search karte ho internet per to apka ip ISP (Internet Service Provider) Tak bhejta hai and phir apko ISP ko apke IP address ko pata chalta hai aapne kya search kiya hai and apko kya information show karna hai.
Dosto IP address hamesha sabka unique rehta hai means sabka same nahi rehta sabhi devices ka ek alag ip hota hai and ye ip baar baar change hota rehta hai.Maan lijiye ki aap apne phone me internet chala rahe hai and baad me aapne apne internet ko band ker diya and ab aap agar dusri baar apne internet ko open karege to apka ip address pehle se alag hoga.
Dosto jab internet ke dwara koi hacking ya koi galat kaam kiya jata hai to police uss admi ka pata IP address se hi lagati hai means apke IP address se aap tak pahucha jaa sakta hai.
Dosto abhi tak hamne jana ki IP address kya hota hai ab ham jante hai ki IP Address ke versions ke baare me
# Verions Of IP :
Dosto IP ke two versions hote hai IPv4 aur IPv6 to chaliye inke baare me puri jankari lete hai
IPv4 :
Dosto IPv4 ka pura naam Internet Protocol Version 4 hai and dosto ye internet protocol ka fourth version hai.Dosto IPv4 32-bit ka IP hota hai.Dosto IPv4 ek connection less protocol hai jika use packet switch network me kiya jata hai.
Dosto IPv4 ka use network me data packets ko host device se destination tak delivery karne me kiya jata hai.
IPv6 :
Dosto aajkal internet ka use din per din bhadta jaa raha hai aise me ye pareshani thi ki kahi jyada user ke karan future me IP address khatam na ho jaye isliye IPv4 ka new version banaya gaya jiska naam IPv6 rakha gaya.
Dosto IPv6 ka pura naam Internet Protocol Version 6 hai and ye IPv4 ka upgraded version hai and isme kafi advance features hai.IPv6 128-bits ka IP hota hai.
IPv6 ko Internet Engineering Task force {IETF} ke dwara IPv4 ke exhaustion problem ki wajah se baad me IPv6 ko banaya gaya tha.
# Types Of IP Address :
Dosto IP address ke baare me abhi tak hamne bahut kuch jana jaise ip address kya hota hai and inke versions ke baare me bhi hamne abhi jana.To dosto ab ham baat karne wale hai ki kitne Types ke IP Address hote hai.
1.Private IP Address
2.Public IP Address
3.Static IP Address
4.Dynamic IP Address
To chaliye dosto ab inn IP Address ke types ke baare me thoda detail me baat karte hai:
1.Private IP Address :
Dosto jab ham koi computer,laptop,ya phir koi another device ko ek dusre se connect karte hai chahe vo wire se kare ya wireless tab inke beech ek network ban jata hai jo ki private network hota hai and inn private network ke beech me files ya phir koi other thing ko tranfer karne me ek unique id ban jata hai issi ID ko ham 'Private Ip Address' kehte hai.
2.Public IP Address :
Dosto Public IP Adress vo address hota hai jo hame ISP(Internet Service Provider ) Se milta hai and dosto jo aap normally apne pc ya mobile ya phir koi dusre device me internet chalate ho to jo apka IP Address Create hota hai vo 'Public IP Address' kehlata hai.Ye address pure internet per apka ek unique address hota hai.
Public IP Address Apko internet per devices se communication ka rasta deta hai.Jiase ki ham kuch bhi internet per search karte hai to usko ISP tak pahuchata hai and phir vo information hame deta hai.
3.Dynamic IP Address :
Dosto jo bhi IP Address DHCP Servers ke dwara assign kiya jata hai unn IP Adress ko ham 'Dynamic IP Address' kehte hai.
4.Static IP Address :
Dosto agar kisi device me DHCP enable nahi hota to apko ip address ko manually assign karna padta hai and unn IP ko ham 'Static IP Address' kehte hai.
# Apna IP Address kaise check kare :
Dosto agar apko apne pc ki private IP ke baare me jankari chahiye to niche diye gaye steps ko follow kare :
Step1 - Sabse pehle Start menu per click kare and uske baad RUN open kare.
Step2 - Iske baad Run me CMD Type kare.
Step3 - CMD open ho jaane ke baad usme 'ipconfig' type kare.
and dosto ab apko apni private ip address dikh jayega and agar apko apni public id dekhna hai vo bahut hi simple hai.
Sabse pehle aap Google per jaiye and vaha per apko type karna hai
' What Is My IP ? ' and iske baad google apko apki public ip dikha dega jaisa ki aap niche screenshot me dekh sakte hai.
# Last Words:
Dosto aaj hamne apko IP Address ke baare me puri jankari dene koshish ki and hame puri umeed hai ki apko ip address ke baare me pura samajh aa gaya hoga.Dosto iss article ko read karne ke liye apka bahut bahut dhanyavad agar apka IP Address se releated koi bhi question ho to aap hame niche comment karke bata sakte hai.Thankyou:)
No comments:
Post a Comment