Tuesday, 25 December 2018

Share Market kya hai and ShareMarket Me Investment Kaise Kare

Share Market kya hai and Isme Investment Kaise Kare

Hello dosto welcome to JTMKaro! Dosto aaj ke iss article me hum baat karne wale hai sharemarket ke baare me ki sharemarket kya hota hai aur isme investment kaise kiya jata hai kya ye risky hai ya nahi aaj hum inhi sab topics ke baare me baat karne wale hai.

Dosto iss duniya me paise kamane ke hazaro tarike hai koi job karta hai,koi business  karta hai ya fir koi online paise kamata hai.Aajkal to har field me job hai.Dosto kai log to apne paise lagakar phir bahut saare paise kamate hai kyuki agar hamare paas paise hai to hi ham apne sapne ko pura ker sakte hai.

Aise me naam aata hai sharemarket ka kyuki iss per ham paise lagakar bahut jyada benefit le sakte hai to aaj hum sharemarket ke baare me puri jankari lene wale hai.

Dosto agar aap soch rahe hai sharemarket me invest karna to uss se pehle apko sharemarket ke baare me puri tarah se full knowledge honi chahiye kyuki agar apko sharemarket me baare me knowledge nahi hai to apka pura paisa dub sakta hai.To iss se better hai apko share market ke baare me puri knowledge honi chahiye tabhi jakar aap sharemarket me investment kare.

Dosto sabse pehle ham baat karte hai share market akhir hota hai kya hai.

#Sharemarket Kya Hota Hai -:

Dosto agar me baat karu ShareMarket ki to isse StockMarket bhi kaha jata hai.To ye ek aisa market hai yaha per badi badi companies ke share kharide aur beche jate hai.Sharemarket ek aise jagah hai jaha per 1 hi raat me ya to crorepati bhi ban sakte hai ya phir gareeb bhi ban sakte hai.

Kehne ka matlab ye hai ki agar aap sharemarket me paise lagate hai to ya to apke paise double ho jate hai ya phir apne jo paise lagaye the vo bhi dub jaate hai.and dosto apke maan me ek doubt abhi jarur aa raha hoga ki company ke share karidhna matlab kya ??To dosto me apko bata du company ke share kharidna matlab kisi company ki hissedari kharidna.

And maan lijiye agar apne BSNL company me shares kharide yaani ki iss comapny me invest ker diya to agar ye company profit me chal rahi hogi to apko accha munafa mil jayega lekin agar ye comapny loss me chale gayi to apka bahut jyada nuksan ho sakta hai.But agar me baat karu mere experience ki toh sharemarket me  jyada chances rehte hai profit hone ke and kafi kam chances rehte hai loss hone ke.

Per ek baat me apse jarur kehna chahuga ki jitna assan kaam sharemarket me paise kamana hai utna hi aasan paise dubana bhi hai.

Dosto umeed karta hu ab tak apko thoda bahut to idea jarur lag gaya hoga ki sharemarket kya hota hai ab ham baat karte hai ki sharemarket kitne types ke hote hai.

1.Pimary Sharemarkets :

Dosto agar ham baat kare primary sharemarkets ki baat kare iska matlab mtlab aise shares jo comapany ke dwara pehli baar issue kiye gaye ho.Dosto jab bhi koi nai company hoti hai aur jab vo company sharemarket me stocks ko list karti hai to usse ham kehte hai primary sharemarkets.

And dosto apki jankari ke batau to jo comapany pehli baar jin share ko list karti hai unhe ham Initial Public Offering (IPO) kehte hai.

2.Secondary Sharemarkets :

Dosto agar ham baat kare secondary sharemarkets ki to iska matlab hota hai jo comapny sharemarkets me pehle se listed hai and jo pehle se apne shares sell ker rahi ho.To ham unhe buy and sell karke trading yaani ki vyapar karte hai.

And secondary share market me 1 share ki price ke hisab se trading ki jaati hai.And jab bhi ham normally sharemarket me paise invest karne ki baat karte hai to ham secondary sharemarkets ki hi baat ker rahe hote hai.

and dosto agar ham baat kare top indian investors ki jo ki sharemarket me invest karke aaj crorepati ban gaye hai to vo ye hai :

1.Chandrakant Samapat
2.Rakesh Jhunjhunwala
3.Radhakisan Damani

Dosto sharemarket me invest karne ke baad to iski life hi badal gayi hai yu samajh lijiye ye zero se hero ban chuke hai.

#ShareMarket me invest Kab Kare :

Dosto abhi tab Hamne jana ki sharemarket kya hota hai and iske types aur bhi bahut kuch hamne sharemarket ke baare me jana.Lekin sabse bada confusion hamare dimmag me sharemarket ko lekar ye rehta hai isme hame invest kab karna chahiye.Dosto me apko bata du ki sharemarket me invest karne se pehle aap thoda iska experience le ljiye kehne ka matlab ye hai ki aap sabse pehle 1000rs se kam ka investment kare and isme thoda experience gain ker le jiss se fyada ye hoga ki apko aage dikkat nahi aayegi.

and aap invest karne se pehle dhyan rakhe ki aapko pata hona chahiye ki konsi company profit me jane wali hai and konsi loss me.iski jankari apko economic times newspaper me mil jayegi ya aap NDTV Business news channel per bhi dekh sakte hai ki konsi company ko profit hua aur konsi company ko loss hua

and me apko ek advice jarur dena chahuga ki agar apki condition acchi means apko paiso ki jyada dikkat nahi hai tabhi aap isme invest kare kyuki isme paise invest karna kafi risk ka kaam hai and apko pata bhi nahi hota ki loss hone wala hai ya profit.

and ab ham baat karte hai kuch basic terms means kuch aise words jo sharemarket me use hote hai and inke baare me hame pata hona bahut jaruri hai :

1.Share - dosto jab bhi koi company sharemarket me list hoti hai to vo apne aap ko choe chote parts me devide ker leti hai usse hi ham share kehte hai.

2.Stock Exchange - Dosto ye word sharemarket me kafi jyada use hota hai stock exchange ka matlab hota hai vo institution jo stock ko rakhne me,bechne me,kharidne me istemal hota hai.

and India me 2 Stock Exchange :

1.BSE - Bombay stock exchange
2.NSE - National Stock Exchange

3.Facevalue - iska matlab hota hai stock ki kitni kimat hai.

4.IOC - IOC ka matlab hai immediate or cancel.Jab aap koi share kharidte ho aur ussi time apko ussi rate me share kharidne wala buyer mil jata hai to apka order complete ya cancel ho jata hai.

5.Limit Order - Limit order me aap ye batate hai ki vo stock apko kitne me buy ya sell karna hai.

6.Portfolio - dosto jo aap stocks kharidte hai unhe un records ko ek saath rakhna portfolio kehlata hai.

7.Bonds - bonds vo hota hai jo kisi company dwara investors ko diya jata hai jo ki ek fixed time ke liye hi hota hai.

8.Broker - broker ham uss person ko kehte hai jo person apke liye stocks ko buy ya sell karta hai and uska comission leta hai.

dosto ye kuch basic terms hai mujhe laga apko batana jaruri hai agar aap sharemarket me invest karna chahte hai.

#Share kaise kharidte hai :

Dosto share khadine ke liye apke paas ek demant account hona chahiye.Dosto demant account open karvane ke liye aap kisi broker ke paas ja sakte hai vo apka demant account khol dega.Demant account vo hota hai jisme ham apne sell kiye hue shares ke paise rakhte hai.Jaise ki aap apne paise rakhne ke liye bank account ka use karte hai vaise hi agar aap sharemarket me invest karna chahte hai to apke paas ek demant account hona jaruri hai.

Kyuki maan lijiyye agar kisi company ko profit hua and aapne vo share sell kardiya to ab jo apka profit hai vo apke bank account me nahi jayega balki demant account me jayega and baad me aap vo amount apne saving account me bhi le sakte hai.

agar aap Demant account banana chahte hai to apke paas ek saving account hona jaruri hai and iske baad apko pan card ki copy and address proof ki jarurat padti hai.

and demant account khulwane ke baad broker aage ki puri information apko deta hai.

Dosto aaj ke liye sirf itna hi janta hu ki aaj ka article kuch jyada hi bada ho gaya but kya karu apko jankari dena jaruri tha and ek baat ka hamesha dhyan rakhna jab bhi aap sharemarket me invest karne jaa rahe ho to sabse pehle sabhi companies ko dekh lijiye ki konsi profit me jaa rahi hai aur konsi loss me.

Agar apka koi question hai to aap hame niche comment karke bata sakte hai ham uska reply jarur dege.

thankyou:)

2 comments:

  1. This article is amazing I think this article is best on internet. Jatin sir we all are proud of you You are such a great person You definitely become a successful person in future I never seen a great person like you 😊Best of luck for your future

    ReplyDelete