![]() |
History OF Internet |
Dosto aaj duniya me shayad hi koi ho jo internet use na karta ho.Aajkal to villages me bhi iska use bahut hi tezi se bhadta jaa rha hai.Hum ek din bina khane ke bhi reh sakte hai aur bina paani ke bhi lekin agar koi hamse bole ki aaj pure din tum internet use mat karna to shayad hum vo nhi ker paye.
Dosto jab se internet hamari life me aaya hai tab se hamari life kafi aasan hi gayi hai.Pehle agar hame ek bank se dusre bank me paise bhejne hote the to hum 1-2 hours line me khade hote fir ye kaam ker paate but internet ke aane se ye kaam hum ab sirf mobile se ek button dabakr hi ker sakte hai.Internet ki khoj kisi magic se kam nhi hai.
But itni badi chiz 'internet' ko kaise develop kiya gaya ye question hamare dimaag me chalta hi rehta hai hum jaan ne ke liye bahut excited rehte hai to chaliye jante hai internet ki history kya rahi.
#History Of Internet :-
Dosto internet ki shurati stage ki baat kare to Internet ki shuruat tab hui jab electronic computer ko chalan joro se badh gaya.Hamne Electronic computer to bana liye kafi acche but ab hame ye problem aane lagi ki hum kaise ek network ke through ek computer ko dusre computer ke sath connect kare.Ye problem uss time bahut badi thi.US me uss time tak sirf ek hi technology aise thi jiss se hum ek computer ko dusre computer ke sath connect ker sakte the and iss technology ka naam tha 'ARPANET' and ye baat thi 60s ki.
Dosto ab 60s ka end tha ab apranet ke alawa aur bhi technologies use hone lagi jaise ki NPL network, CYCLADES, Merit Network, Tymnet, Telenet ye sab technologies networking ke liye bhi ab arpanet ke sath use hone lagi thi.
Dosto ab 60s khatam ho gaya tha and ab time tha 1969 ka jab internet ki shuruat hui.Dosto apki jankari ke liye bata du jab internet ki shuruat hui thi tab tak sirf internet ke baare me five military ko hi pata tha.1969 me yaani ki aaj se 48 years pehle ki to iss time america ke security department ke advance research project agencies ne five universities ke computer ko ek sath ek hi network se joda tab se internet ki shuruat hui lekin ab tak isko (arpanet) ke naam se jana jata tha.Ab kariban 10 saal baad britian ne sabse pehla international network banakr isko aur aage bhadaya.
Dosto arpanet ka sirf ek hi maksad tha ki hamari country me education and reasearch ko bhadava dena tha hamari country aur bhi jyada develop ker sake.And ab 1969 se kariban 5 saal baad yaani ki 1974 me 'ARPANET' ko commercial ker diya jiss se sabhi log iska use ker sake and sabse pehla iska use TELNET comapny ke dwara kiya gaya tha and fir jab ye network puri tarah se set ho gaya tab isse INTERNET naam de diya gaya and uss time information ki len-den ke liye TCP (Transmission control protocol ) ka use kiya jata tha.
![]() |
Tim Berners Lee |
Dosto ab Tim berners lee ne 1990 me apna pehla web browser or web server banaya jiska naam unhone WORLDWIDEWEB diya.and iske kaafi time baad iska naam badalkar NEXUS rakh diya gaya.And dosto ab kya tha ab haar company apna khud ka web browser develop karne me jut gayi and fir 1993 me Marc Andersen ne apna web browser develop kiya jiska naam unhone MOSAIC rakha but baad me iska naam bhi badalkar Netscape rakh diya gaya.And dosto ye browser use karne me kafi simple tha shayad yahi karan ho sakta hai ki 1990s me internet kafi had tak develop ho chuka tha.
Dosto ab aaya google.Google ne 1972 me E-mail develop kiya tha isko develop kane wale saksh ka naam tha Ray Tomlinson.1985 Me america ke National Science Foundation ne (NSFNET) banaya jo ki arpanet se kafi bada network tha and iss network ke through hazaro computers ko ek hi network ke sath joda jaa sakta tha.And iska bhi yahi maksad tha ki USA me science and education ko bhadawa dena.WWW ke legend invention ke baad yaani ki uske 9 saal baad 1998 me google ne apna search engine lauch ker diya and iske baad google ne internet ki puri kahani hi badal di kyuki google ke search engine ke through log kafi tezi se internet se connect ho rahe the.
and ab baat thi ki internet ko INDIA me kaise laya jaaye to internet ke invention ke 26 years baad internet INDIA me 15 august 1995 me aaya.Videsh Sanchar Nigam Limited ne apni telephone line ke jariye duniya ke computer ko india ke computers ke saath connect karke internet ki shuruat ki and india me internet aane ke 5 saal baad private companies ne internet sector me kadam rakhna chalu ker diya.
and dosto agar hum baat kare ki 'FATHER OF INTERNT ' kon hai to me apko batana chahuga ye hai 'VINT CERF' kyuki inhone internet ke invention me kafi important contribution diya.Inhone ne hi 'ARPANET' jo ki sabse pehla network tha vo vint cerf dwara hi banaya gaya tha.
![]() |
vint cerf |
Dosto agar apko ye article pasand aaye to please ek comment karke jarur batana.Thanks :)
No comments:
Post a Comment