![]() |
Wooplr Kya Hai Aur Wooplr Se Paise kaise Kamaye |
Namaskar dosto welcome to jtmkaro ! dosto aaj hum baat karne wale hai ki wooplr kya hai aur iske sath pause kaise kama sakte hai.
Dosto aaj ke time me hum sabhi bahut sara paisa kamana chahte hai and hum dinbhar google per iske baare me search bhi karte rehte hai ki kaise hum paise kama sakte hai ghar baithe but yaha pe apko koi ek accha platform nhi mil paata paise kamane ke liye.
Dosto jaisa ki aaplog jante hoge ki Internet per mainly paise kamane ke 2 raste hai ya ek youtuber banke paise kamana ya blogging karna but aajkal har koi ye sab karne laga hai jiss se iss field me competition kafi jyada badh gaya hai and isme success hona bhi kafi muskil sa lagta hai.
But aaj hum baat karne wale hai ek aise platform ki jisme aap kafi accha paisa earn ker sakte hai and apko kuch kaam bhi yaha per nahi karna hai.and aap yaha per kafi accha paisa earn ker sakte ho.
#Wooplr Kya Hai -
Dosto hum baat kare ki wooplr kya hai to Wooplr ek E-commerce based online marketplace hai jaha per hum apna khud ka online E-commerce website bana sakte hai and products sell karke online paisa kama sakte hai.
Dosto waise to yaha per kafi aise platform hai jaha per aap ye sab kaam ker sakte hai but wooplr inn sab se thoda different hai.
Jaisa ki hum Baat kare instamojo online store per hum apna khud ka online store create ker sakte hai but waha per hame apne khud ke products list karne padte hai But yaha per wooplr sabhi website se differ isliye karta hai kyuki wooplr me apko apne khud ke products ko list karne ki jarurat nahi hai balki wooplr apko apne products deta hai sell karne ke liye vo bhi 100% free.
Dosto apne affiliate marketing ka naam to suna hi hoga waise ha kaam wooplr ka hai jaise ki amazon affiliate,flipkart affiliate etc.dosto in website per agar aap affiliate marketing karte hai to apko vo products ki link dete hai jisko apko promote karna hota hai and apki link se koi uss product ko buy karta hai to apko uska commision milta hai.
but wooplr per apko ye benefit milta hai ki aap amazon jaisa apna khud ka online store create ker sakte hai and phir waha per apko products mill jate hai jinko aap apne store per add ker sakte hai.
And dosto jo sabse acchi baat mujhe wooplr ki lagti hai vo hai ki isme apko 1rs bhi invest nhi karna aap isme bilkul free store create ker sakte hai and dosto mujhe ye kafi accha platform laga online paise kamane ka and isse me kariban 1-2 mahine se use ker rha hu mujhe wooplr se kafi accha benefit hua jitna mene socha bhi nahi thi.
Mene socha kyu na wooplr ke baare me aap sabhi ke sath share kiya jaaye jiss se aap bhi accha khasa paisa kama sako.
#Wooopler per apna shopping store kaise banaye -
Dosto wooplr per apna khud ka online store banana kafi simple hai Dosto jin logo ko technology ke baare me jyada knowledge nahi hai vo bhi wooplr per bahut hi easy tarike se account create ker sakte hai.To chaliye step by step jante hai ki wooplr per apna khud ka online store kaise create ker sakte hai.
Step -1 Dosto sabse pehle apko wooplr ki official website (https://www.wooplr.com/) per jana padega and iske baad apko homepage per hi Start My Business ka tab mil jaayega apko uss per click karna hai.
![]() |
Wooplr Kya hai aur Wooplr ke saath paise kaise kamaye |
and dosto apko account create karne ke baad signup bonus 50rs bhi mil jayega .
Dosto jab aap products ko apne store me add kare to dhyan rakhe aap vo hi product choose kare jo product ko aap apne store per sell karna chahta ho and agar aap products ko sahi se add karege to apko rpomotion karne me aasani hogi.
#Wooplr se earn kaise kare :-
Dosto jaisa ki hamne apko pehle wooplr per apna store create karna to sikha hi dia hai but ab baat aati hai ki kaise aap wooplr se earn ker sakte ho.Dosto Jaise hi ham wooplr per hum apna store banale to uske baad hamara kaam rehta hai unn products ko sell karna and dosto agar aap soch rahe hai ki agar koi product buy karega to hame uski delivery ka tension aur agar koi customer product return kare to uska tension.
To dosto aap iska tension bilkul na le kyuki delivery se lekar return tak sab wooplr dekhta hai hamara to bas ek hi kaam hai products ko sell karna and dosto jab bhi aap koi product ko sell karte ho to uske rate ke hisab se apko comission milta hai jo ki hamare wooplr wallet me add ho jata hai.
and agar aap apne wallet me se withdrawl lagana chahte ho to aap apne bank account ya paytm me payment le sakte ho.aur isme weekly payments yaani ki hafte me ek baar payment le sakte hai.
And iski jo maximum withdrawl amount hai vo 100rs hai and mujhe nahi lagta ye koi jyada hai and agar aap iss website per acche se kaam karte hai to aapne socha bhi nahi hoga utna benefit apko mil sakta hai.
Dosto iss article ko padne ke liye bahut bahut dhnyabad asha karta hu apko ye articles pasand aaya hoga :)
No comments:
Post a Comment