Wednesday, 26 December 2018

Google Local Guides Kya Hai and Isme Google Rewards Kaise Earn Kare

Google Local Guides Kya Hai and Isme Google Rewards Kaise Earn Kare

Namaskar Dosto me apka swagat karta hu jtmkaro! per.Dosto aaj ham baat karne wale hai google local guides ke baare me ki kaise aap ek google local guide ban sakte hai and bahut saare gifts google se jeet sakte hai.

Dosto ho sakta hai ki pehle bhi apne Google Local Guides ka naam suna ho but kai log aise hai jinko google ke iss feature ke baare me bikul bhi nahi pata and kai log aise bhi hai jinko google local guides ke baare me pata hai lekin unko iske baare me bahut saare confusions rehte hai ki kaise ye work karta hai.

To Dosto aaj iss article ke madhyam se ham apni puri koshish karege ki apko google local guide ke baare me jitna ho sake utni jankari de paaye and aaj ke baad apke dimag me google local guide ko lekar koi bhi confusion na rahe.

#Google Local Guide Kya Hai -:

Dosto aap sabhi log google maps me baare me to jante hi hoge agar nahi jante to me apko bata du ki google maps ka use ham kisi location ko search karne,map dekhne,ya navigation ke liye use karte hai.

Dosto agar ham baat kare google local guide ki to ye feature google maps ka hi ek program hai and agar aap iss program se judte hai to apko kuch jyada work nahi karna hota hai bas jaise aap kahi travelling ke liye gaye ya phir kahi aaspas ghumne ke liye to aap vo pictures google maps per share ker sakte hai and maan lijiye aap koi aise place jante ho jo Google maps me missing hai to aap usme vo place add ker sakte hai 

and agar aap kisi place per ghumne gaye to aap google maps per jakar usme 1 se 5 tak star ratings de sakte hai.

And Dosto iske badle me google apko kuch points deta hai jiske badle me apko baad me rewards bhi milte hai.

and dosto google local guides programe isme apko 1-10 level dekhne ko milti hai hai jisme apko level wise badge bhi milte hai and apko level wise hi rewards yani ki prizes milte hai to ham prizes ke baare me bhi iss article me baat karege.

Dosto ab baat aati hai ki akhir ham isme contrubution kaise ker sakte hai means ham google local guide kaise ban sakte hai to chaliye iske baare me jante hai.

#Google Local Guide kaise bane :)

Dosto jo bhi log google maps ka use karta hai vo aasani se google local guide ban sakte hai.Dosto apko ek google local guide banne ke liye jarurat hogi ek smartphone ya pc ki aur internet connection ki.and iske baad aap google maps me apna contribution ker sakte hai.

Dosto google local guide ban ne ke liye apko sabse pehle google local guides ki official website per jana hoga (https://maps.google.com/localguides/)  iss website per jana hai.

and dosto ab jaise hi aap google maps ki official website per chale jaye uske baad apko join google local guide ka button mil jayega.and jaise hi phir aap upsar click karege apke screen per ek popup window open ho jayegi jisme aapse sabse pehle city ke baare me pucha jayega.

To aap apni city fill karde and isme baat niche dono option tick karke signup button per click kar de.

and iske baad phir apki ek new window open ho jayegi.
and ab aap google local guide successfully ban chuke hai and ye to tha pc ka method and agar aap smartphone ka use karte hai to aap bahut hi easy tarike se google local guide ban sakte hai.

Bas apko sabse pehle apne google maps app ko update ker le uske baad apko sabse pehle google maps app ko open karna hai →uske baad apko sidebar yaani ki side me 3 lines per click karna hai→and dosto fir apke google maps ka sidebar open ho jayega →usme apko your contributions per click karna hai and iske baad ab aap google local guide ban jaoge.

and local guides ban jane ke baad apko jarurat padti hai points earn karne ki iske liye aap jo place ka review dene wale ho uss place ke baare me apko acchi information hona jaruri hai jiss se aapke reviews logo ko helpful lage.


  • aap isme jaha jaha per gaye waha ke photos share ker ke points earn ker sakte ho.
  • Aap un places ko 0-5 tak star ratings deke bhi points earn ker sakte ho.
  • aap unn places per review likh ker points earn ker sakte ho.
  • and dosto agar aap kisi aise place ko jante ho jo google maps per add nahi hai to un place ko add karke bhi aap points earn ker sakte ho.
  • and dosto isme kuch quetions bhi hote hai jo user dwara place ke liye puche jaate hai to aap unka answer deke bhi points earn ker sakte ho.
and dosto jaisa ki mene pehle bataya tha ki isme apko level wise kuch rewards bhi ilte hai to chaliye ab unn rewards ke baare me baat karte hai :-


Dosto jab aap level 1 per hote hai yaani ki jab apke 0+ points hote hai tab apko kuch chote rewards milte hai to chaliye jante hai vo rewards konse hai.

  • aap google ka monthly newsletter ko subscribe ker sakte hai.
  • and google kuch apni workshops rakhta hai usme aap samil ho sakte hai.
  • and kuch countries me google apne local guides event bhi rakhta hai aur competiotion bhi rakhta hai to isme aap participate le sakte hai.
  • and dosto aap localguidesconnect ke conversation me bhi saamil ho sakte ho.
Dosto jab aap level 2 yaani ki jab apke 5+ Points hote hai tab apko level 1 se thode acche rewards milte hai to chaliye jante hai vo kya hai .

  • jab google ke new products aur feature lauch hote hai to unhe aap lauch se hi pehle access ker sakte hai.
  • jab bhi aap apne meetups rakhte hai to unhe aap google calender per promote ker sakte ho.
Dosto jab aap level 3 yaani ki jab apke 50+ Points hote hai tab apko level 2 se acche rewards milte hai to chaliye jante hai vo kya hai .

  • apko google maps per ek local guide batch mil jata hai jis se apki pehchan google maps per thodi alag nazar aati hai.
  • and aap 3rd level per hai to apko ye bhi benefit mil jata hai ki aap unofficial communities ko bhi promote ker sakte hai.
Dosto jab aap level 4 yaani ki jab apke 200+ Points hote hai tab apko level 3 se acche rewards milte hai to chaliye jante hai vo kya hai .

  • google ke official social media channel per aap aa sakte hai jaise ki google ka google+ channel,facebook,etc.

and dosto jaise hi 5th level per aate hai yaani  ki jab apke 500+ points ho jaate hai tab apko kuch khas rewards milte hai to chaliye jante hai vo kya hai .

  • aap google ke trusted tester opportunities ke liye eligible ho jate ho yaani ki agar google ka koi bhi product lauch hota hai chahe vo google ka pixel phone kyu na ho vo apko launch se pehle testing ke liya diya jayega.
  • and aap Google Local Guide Summit 5 ke liye bhi apply ker sakte hai.
and dosto kai logo ke maan me ye confusion rehta hai ki kya hame hamare points ke badle me paise milege ya fir ham apne points ko kya paiso me convert ker sakte hai.To dosto me apko bata du aisa bilkul bhi nahi hai google apko sirf rewards deta hai vo bhi level wise apko koi paise nahi deta.

and maan lijiye agar aap koi reward jitege to vo apko apke registered email ke through bataya jayega.

To dosto asha karta hu apko google local guides ke baare me samajh aa gaya hoga

and agar abhi bhi apka koi question hai google local guide se releated to aap hame niche diye gaye comment box me comment karke apne questions ko puch sakte hai.Ham apke question ka reply 100% dege.and apka bahut bahut dhanyavad iss article ko read karne ke liye.


1 comment: