Sunday, 13 January 2019

IMEI Number Kya Hota Hai and Apna IMEI Number Kaise Pata Kare (FULL INFORMATION)

Namaskar dosto welcome to JTMKaro ! Dosto aaj ka ye article kafi interesting article hone wala hai kyuki aaj ke iss article me ham baat karne wale hai IMEI Number ke baare me ki IMEI Number kya hota hai iske baare me puri jankari lene wale hai and last me ham pata karne wale hai ham kisi bhi person ko basIMEI Number se kaise trace ker sakte hai.

Dosto agar aap koi bhi phone market se kharidte hai ya phir koi phone online se bhi kharidte hai to apne ek baat ko jarur notice kiya hoga ki vo apke bill per apki information ke sath sath apke IMEI Number ko bhi note karte hai and agar aap online apna phone kabhi exchange karte ho online tab bhi vaha per apke phone ka IMEI Number maga jata hai.

Kyuki IMEI Number se online shopping website wale pata ker sakte hai ki apna phone kitna purana hai and iske baad hi apke phone ki price calculate ki jaati hai.

But,Kabhi apne socha ki ye IMEI Number kya hota hai and iss chote se number se itne bade bade kaam kaise hote hai to chaliye iske baare me aaj pura detail me samjhte hai.

# IMEI Number Kya Hota Hai:

Dosto sabse pehle me apka bata du ki IMEI ka full form hai International Mobile Equipment Identity hai.Dosto ye ek apke mobile ki ek unique pehchan hoti hai ye pehchan ek number hota hai jo ki 15-digit ka hota hai and dosto duniya me aaj jitne bhi phone hai chahe vo keypad,smartphone,iphone jis bhi tarah ka phone ho sab me IMEI Number hota hai.


Kyuki agar kisi phone me IMEI Number nahi hai to vo phone chal hi nahi sakta.Dosto vaise to sabhi mobile ka ek hi IMEI Number hota hai but agar apke phone me 2 sim slot hai to aise me apko apke phone me 2 IMEI Number dekhne ko mil jayege.

Dosto ab tak hamne jana ki IMEI Number kya hota hai ab iske format ke baare me thodi si baat karte hai.

Dosto IMEI Number 15- disgit ka code hota hai and isme jo first 14 digit hota hai vo string ke format me hota hai and jo last wali digit hoti hai means 15th digit hoti hai unka use first 14th digit ko verify karne ke liye use kiya jata hai.

Dosto year 2004 me IMEI Code ka naya format pesh kiya gaya tha jo ki abhi tak chal raha hai and aage bhi chalta rahega and vo format kuch iss prakar tha MM-NNNNNN-OOOOOO-P and dosto jo A and B part hai unhe Type Allocation Code Kaha jata hai (TAC).Dosto Jo TAC Code hota hai uska use phone ki manufacture company and uske model ka pata lagane ke liye kiya jata hai.

Dosto ab ham baat karte hai ki IMEI Number ke uses kya hai means IMEI Number ko kin kin tarah se use kiya jata hai.

# Uses Of IMEI Number :


1.Dosto sabse pehla use ye hai ki agar apka phone chori ho jata hai to aap IMEI Number se apne phone ko trace ker sakte ho.

2.Dosto IMEI Number se ye pata lagaya ja sakta hai ki aap konsa sim card use ker raha hai and apka phone number kya hai.

3.Dosto aap ke ek baat bta du ki agar kisi phone me IMEI Number nahi hai to newtork company jab tak connection chalu nahi karti jab tak apke mobile me IMEI Number nahi hota kyuki agar kisi bhi mobile per connection start karna hai to 2 chiz ki need hoti hai first apka number and apka IMEI Number apki identifiaction ke liye.



# Kya Ham kisi ko IMEI Number se Trace ker sakte hai kya :

Dosto ham sabhi ke maan me iss question ko lekar hamesha confusion laga rehta hai ki kya ham kisi aur ke phone ko IMEI Number se trace ker sakte hai and agar ker sakte hai to kaise karege ye question apke dimaag me jarur aata hoga.


Dosto jab bhi apka phone chori hota hai ya phir hamara phone gum ho jata hai tab ham Local Service Provider se contact karke apne phone ki location ko jaan sakte hai.

And dosto aap ek baat ka jarur dhyan rakhe ki aap apna IMEI Number kisi ke bhi saath share na kare kyuki aise me agar koi hacker hai to vo apki location track ker sakta hai.Vaise to koi normal isaan apko apke IMEI Number se track nahi ker sakta bas police hi ker sakti hai agar koi bada hacker hai to bhi ker sakta hai.

# Apna IMEI Number kaise pata kare :


Dosto agar apko apna IMEI Number janna hai to aap niche diye gaye steps ko follow kare :

1.Sabse pehle aap apna phone on kare and iske baad dialer pad open kare.

2.dialer pad open ho jane ke baad apko *#06# dial karna hai.


and iske baad apke samne apke IMEI Number show ho jayege agar apke phone me 2 sim hai to apko vapa per 2 IMEI Number show hoge.

and dosto aap apne phone ka IMEI Number ko phone ki seeting jakar →about me jakar→and phir apko vaha bhi IMEI code dekhne ko mil jayega.

And dosto agar apko ye setting nahi karna hai to aapko kya karna hai sabse pehle aap apne  phone ke back cover ko open karke apni battery ko remove karke fir waha per aap apna IMEI number dekh sakte hai.

# Last Words :

Dosto aaj hamne IMEI Number ke baare me bahut jankari li and me ummed karta hu ki apko hamare dwara di gayi janakri pasand aayi hogi.Dosto abhi bhi agar apka IMEI Number ko lekar koi doubt hai to aap hame niche comment karke bata sakte hai

Dosto iss article ko padne ke liye dhnyavad agar apko article pasand aaya ho to aap hame niche comment karke bata sakte hai.

No comments:

Post a Comment