![]() |
whatsapp Kya hai and Full Hisotry Of Whatsapp |
hello dosto welcome to JTMkaro! Dosto aaj me apko batauga ki whatsapp kya hai??kaise banaya? and aur bhi kai chije whatsapp ke baare me to chaliye shuru karte hai.
Dosto aksar ham whatsapp ko use karte rehte hai ya phir agar aap whatsapp ko use nahi karte hai to apne dusro ko to jarur dekha ho hoga kyuki agar aaj duniya me 100% log hai to 99% log aaj whatsapp ka use ker rahe hai.
And dosto pehle to sirf whatsapp android and ios operating system me hi chalta tha but ab aap isse pc me bhi use ker sakte hai itna hi nahi aajkal to feature phones me bhi apko whatsapp dekhne ko mil jayege jaise Jio phone,Micromax Bharat and aur bhi kai ais feature phone me apko whatsapp dekhne ko mil jayega.
Per dosto kya apne kabhi socha ki whatsapp ki shuruat kab aur kaise hui aur kab bana aur whatsapp ko bananae ka idea dimaag me aaya .
to sabse pehle hum jante hai ki whatsapp kya hai???
whatsapp ek free messanger application he.whatsapp se hum ghar bethe apne ghar,family,friends,business etc. se jude reh sakte hai.hum world ke kisi bhi kone me bhetker kisi ko bhi image,audio,pdf,videos etc. bahut si chize bhej sakte hai.
whatsapp kisne banaya?
whatsapp ki suruat 2009 me Jan Koum aur Brian Acton ke dubara ki gayi thi.whatsapp banane me Jan Koum aur Brian Acton ka bahut bada yogdan tha.koum aur Acton yahoo company ke employe hua karte the.kaum ne whatsapp ka ye naam isliye rakha kyuki ye naam "WHAT'S UP" se milta julta hai and iska matlab tha kya haal hai.
Dosto Whatsapp company ke headquarters MOUNTAIN VIEW,CALIFORNIA,USA me hai.
![]() |
Headquarters of whatsapp |
Dosto whatsapp company ke CEO Jan Koum hai.ab hum baat karte hai Jan kaum aur Brian Acton.
Jan Koum:
Jan koum ek amerian internet programmer hai.Jan koum whatsapp ke co-founder the.jan koum bahut hi gareeb khandan se the.unki maa saaf safai ka kaam karti thi.18 saal ki umar me hi jan kaum ka programming me inerest tha.Jan kaum ki graduation San Jose state university me hui thi.
1997 ne Jan koum ne yahoo company ke liye infrastructure engineer ka kaam kiya.kuch samaye baad Jan Brian acton se mile.aur un dono ne 9 sal tak ek sath kaam kiya.2007 me unhone yahoo company ko chod duya.
Jan aur Brian ne facebook company me apply kiya per dono ko reject ker diya gaya and un dono ko iss baat se bahut nirasha hui and phir unhone socha kyu na khud ki company kholi jaaye.
24 february 2009 ko unn dono ne whatsapp Inc. naam ki comapny kholi californa me.
Brian Acton:
Brian acton california ke rehne wale hai aur Brian whatsapp ke co- founder hai.
Brian ki graduation computer science standford university 1994 me complete hui thi.
1998 me brian ne yahoo comapny me infrastructure engineer ka kaam kiya.doctom ke business me brian ko bahut jyada nuksan hua.wo karodo rupees haar gaye uss businees me.
kaum aur acton ne facebook comapny me apply kiya lekin vaha se un dono ko reject ker diya.
fir kuch samaye baad unhone whatsapp bana liya.whatsapp itna popular ho gaya ki whatsapp ke karan uss time facebook ko loss hone laga isliye mark zukerberg ka dhyan unki taraf gaya aur Mark Zukerberg jo ki facebook ke CEO hai unhone 2014 me US19 billion$ me whatsapp ko kharid liya.Ye facebook ki bahut badi deal thi.
And dosto iske baad Jan Koum aur Brian Acton dono billioner ban gaye and jan or brian kabhi bhi nahi chahte the ki whatsapp per advertisement deikhaya jaaye means vo dono whatsapp ko ads free rakhna chahte the jo aaj bhi follow kiya jaa raha hai isliye apko kabhi bhi whatsapp per advertisement dekhne ko nahi milte.
Dosto apne dekha ki kaise do mamuli isaan ne ek whatsapp banaya jo ki aap dekh sakte hai ki aaj kitna growth ker chuka hai shayad ye mujhe batane ki jarurat nahi hai.
Dosto iss article ko read karne ke liye apka bahut bahut dhanyavad agar apko ye article pasand aaye to niche ek comment karke jarur batana and agar aapka koi question hai to niche comment box me aap ham se puch sakte hai.Thankyou :)
Good Keep it up
ReplyDeletehttps://www.crackingcomputer.com/2019/01/what-is-google-adsense.html
thnx bro :)
ReplyDelete