Hi bhailog kaise ho aap sabhi umeed karta hu aap saabhi bahut hi acche hoge and me aaj apka swagat karta hu jtmtech website me.
Bhailog aaj hum baat karne wale hai ki kaise aap kisi ko professional messgae bhej sakte ho bina apna number dale.😁😁
Bhailog jaisa ki aap jante hi hoge ki sms kya hota hai.pehle to hame agar kisi ko koi message bhejna ho to kam se kam 1 mahina lag jata tha socho tab message ki value kitni thi per aaj ham jaise hi 1 click karte hai SMS send ho jata hai.
Per aajkal to hum SMS ko bhul sa gaye hai kyuki agar kisi ko kuch message bhejna ho to ham haal hi whatsapp ya facebook per daal dete hai.Per bhailog abhi bhi SMS ki utni hi value hai.
Jaise ki maan lijiye aapne kisi ko whatsapp per birthday wishes bheji but ab kya hoga samne wale ke whatsapp me itne message aaye hote hai ki vo hamare message ko open hi nhi ker pata.aap hi khud socho ki agar diwali ho ya eid ho ya chritmas ho to hama whatsapp pura messages se bhar jata hai and hum shayad kuch hi logo ke messages open karke dekh pate hai..
And whatsapp pe hum kya karte hai agar kisi ka birthday hota hai birthday wishing ka photo usse kisi dusre se forward karte hai.Isse jo special wali feeling hoti hai vo nhi aati and samne wale ko bhi lagta hai ye to yaar aisa hi hai isne to bas message forward kiya hai.
And ab whatsapp and facebook purana ho chuka hai.agar me apse kahu ki whatsapp ya facebook per whising messages bhejke spamming karna iske badle aap unhe Professional Messages bhejoge to unhe bhi kafi accha lagega.
Bhailog Professional SMS ke naam se aap confuse naa hona, Simple me apko batau to jis tarah company ke SMS aate hai, jisme Number ki jagha uska username hota hai.. wesa hi bhailog aapke username se SMS jayega bina number ke.
Dosto Example ke liye aap Niche ka SMS dekh sakte hai.. Iss SMS ne muje itna khus kiya jitna mere whatsapp par aaye 1000+ message bhi nahi kar paye.. mene Whatsapp par aaye sabhi messange ko to open tak nahi kiya kyuki mujhe laga itne message kon open kare.. par Iss SMS se laga ki haa, Kuch Special hai.Kyuki ye message tha hi itna impressive tha.
To bhailog aaj ki post me hum jaan ne wale hai ki kasie aap kisi ko professional message send ker sakte ho.Wise to aise messages ko send karne ke liye ek company ke hone ki jarurat hai jisme hum bulk messages buy karke setup ker dete hai but yaha per hum madad me lene wale hai fast2sms apne personal use karne ke liye.
#Fast2sms Kya Hai ?
bhailog fast2sms ek aise company hai jiski madad se hum kisi ko bhi bulk SMS send ker sakte hai.
bhailog fast2sms Service ki jo sabse khas baat jo mujhe sabse jyada acchi lagi hai wo ye ki hame Bulk SMS Service ke liye starting me hi jada paise invest karne ki jarurat nahi hai. Sirf ?10 se bhi ham professional messsage send kar sakte hai.
Bulk SMS uses ?????.....
1.isse app Personal SMS send kar sakte hai, Wish kar sakte hai.
2.Kisi Event ka Invitation send kar sakte hai. (Shaadi, B’day party)
3.Promotional SMS send karke promotion kar sakte hai.
4.OTP ke liye Bulk SMS ka use kar sakte hai.
5.School, Coaching ke Alert ke liye use kar sakte hai.
6.Notification, Alert send kar sakte hai.
7.Agar aapki website hai to aap apne readers ko New Post ki notification send kar sakte hai.
8.Youtube channel ke New Video ki notification send kar sakte hai.
9.iske aalawa bhi bhut kuch jiska andaja ab aap laga lijiye.. ??
#Fast2SMS Account kaise banaye ???
fast2sms wali website per apna account banana bahut hi assan hai
Simply apko fast2sms ki website per jakar signup karke account bna lena hai.
- Apna Name dale
- Date of Dirth select kare
- Mobile Number dale
- Email Address dale
- Term and Condition or policy ko Tik karke agree kare.
- Submit button par click kare.
Bhailog ab apne jo mobile number dala hai uspar fast2sms se ek SMS aayega jisme apko apni fast2sms ki login details mil jayegi.
#Fast2SMS Mobile App
Bhailog Mobile se Fast2SMS use karne ke liye aap iska fast2sms app Install kar lijiye, jisme badi aasani se aap apni Phonebook me save contect ko SMS send kar sakte hai.
How to send free sms in Fast2sms ?
bhailog Fast2SMS se Free sms to send kar sakte hai, par agar Professional SMS send karna hai to uska thoda charge lagta hai.. jo Dusri Kisi bhi SMS service se compare kare to bhut kam hai.yhi baat mujhe bahut pasand hai fast2sms ki.
SMS send karne ke liye, Image me di hui steps ko follow kare..
- Bulk SMS par jaye
- Sender ID select kare.. (Agar aapki ID set nahi hai to pehle set karna hoga.)
- Jis Number par SMS send karna hai wo dale, aap ek se jada number bhi daal sakte hai.
- Apna SMS Type kare, jo bhi aap send karna chate hai.
- Send ki button par click kare.. (AGar Baad me send karna hai to Secedule bhi kar sakte hai..)
Last words :
bhailog aaj hamne jana ki kaise hum ek professional message bhej sakte hai and aap iss feature ko apne youtube channel per bhi ker sakte hai.
isme ek feature hai QR code ka jiski madad se aapke customers aasani se QR code scan karke message list me jud sakte hai.Bhailog thnx iss article ko read karne ke liye..
ENJOY SENDING!:)
Very interesting article 😍
ReplyDeletehi
ReplyDeleteA simple GUI based web solution that allows you to use this powerful advanced landline texting solution at any time, from anywhere. So you can have remote access through Web Based User Panel at any time. There are other services you can avail from the website including text to landline free.
ReplyDelete