Jtmkaro

Friday, 19 April 2019

What is share market ? Introduction to the Stock Market |

What is share market


Guys if you want to know about what is share market than you’re landed on the right website today we are going to tell you what is share market and how to invest in share market .

First of all welcome to jtmkaro.com

What is share market :


Share market is A exchange (also called associate degree equity market or share market), may be a assortment of patrons and sellers of stocks. These stocks represent possession interests in firms. These could embrace publically or in camera listed securities. The ny exchange (NYSE) is associate degree example of a share market.

Usually, giant firms can list their stock on a exchange as a result of it makes their shares a lot of liquid (i.e., simple to shop for and sell), that investors love. This liquidity additionally attracts international investors.


As of 2017, the worldwide exchange is currently price a record $76.3 Trillion. The N. Y. Stock Exchange features a market capitalisation of roughly $21 trillion and is that the largest exchange within the world.

Sunday, 13 January 2019

IMEI Number Kya Hota Hai and Apna IMEI Number Kaise Pata Kare (FULL INFORMATION)

Namaskar dosto welcome to JTMKaro ! Dosto aaj ka ye article kafi interesting article hone wala hai kyuki aaj ke iss article me ham baat karne wale hai IMEI Number ke baare me ki IMEI Number kya hota hai iske baare me puri jankari lene wale hai and last me ham pata karne wale hai ham kisi bhi person ko basIMEI Number se kaise trace ker sakte hai.

Dosto agar aap koi bhi phone market se kharidte hai ya phir koi phone online se bhi kharidte hai to apne ek baat ko jarur notice kiya hoga ki vo apke bill per apki information ke sath sath apke IMEI Number ko bhi note karte hai and agar aap online apna phone kabhi exchange karte ho online tab bhi vaha per apke phone ka IMEI Number maga jata hai.

Kyuki IMEI Number se online shopping website wale pata ker sakte hai ki apna phone kitna purana hai and iske baad hi apke phone ki price calculate ki jaati hai.

But,Kabhi apne socha ki ye IMEI Number kya hota hai and iss chote se number se itne bade bade kaam kaise hote hai to chaliye iske baare me aaj pura detail me samjhte hai.

# IMEI Number Kya Hota Hai:

Dosto sabse pehle me apka bata du ki IMEI ka full form hai International Mobile Equipment Identity hai.Dosto ye ek apke mobile ki ek unique pehchan hoti hai ye pehchan ek number hota hai jo ki 15-digit ka hota hai and dosto duniya me aaj jitne bhi phone hai chahe vo keypad,smartphone,iphone jis bhi tarah ka phone ho sab me IMEI Number hota hai.


Kyuki agar kisi phone me IMEI Number nahi hai to vo phone chal hi nahi sakta.Dosto vaise to sabhi mobile ka ek hi IMEI Number hota hai but agar apke phone me 2 sim slot hai to aise me apko apke phone me 2 IMEI Number dekhne ko mil jayege.

Dosto ab tak hamne jana ki IMEI Number kya hota hai ab iske format ke baare me thodi si baat karte hai.

Dosto IMEI Number 15- disgit ka code hota hai and isme jo first 14 digit hota hai vo string ke format me hota hai and jo last wali digit hoti hai means 15th digit hoti hai unka use first 14th digit ko verify karne ke liye use kiya jata hai.

Dosto year 2004 me IMEI Code ka naya format pesh kiya gaya tha jo ki abhi tak chal raha hai and aage bhi chalta rahega and vo format kuch iss prakar tha MM-NNNNNN-OOOOOO-P and dosto jo A and B part hai unhe Type Allocation Code Kaha jata hai (TAC).Dosto Jo TAC Code hota hai uska use phone ki manufacture company and uske model ka pata lagane ke liye kiya jata hai.

Dosto ab ham baat karte hai ki IMEI Number ke uses kya hai means IMEI Number ko kin kin tarah se use kiya jata hai.

# Uses Of IMEI Number :


1.Dosto sabse pehla use ye hai ki agar apka phone chori ho jata hai to aap IMEI Number se apne phone ko trace ker sakte ho.

2.Dosto IMEI Number se ye pata lagaya ja sakta hai ki aap konsa sim card use ker raha hai and apka phone number kya hai.

3.Dosto aap ke ek baat bta du ki agar kisi phone me IMEI Number nahi hai to newtork company jab tak connection chalu nahi karti jab tak apke mobile me IMEI Number nahi hota kyuki agar kisi bhi mobile per connection start karna hai to 2 chiz ki need hoti hai first apka number and apka IMEI Number apki identifiaction ke liye.



# Kya Ham kisi ko IMEI Number se Trace ker sakte hai kya :

Dosto ham sabhi ke maan me iss question ko lekar hamesha confusion laga rehta hai ki kya ham kisi aur ke phone ko IMEI Number se trace ker sakte hai and agar ker sakte hai to kaise karege ye question apke dimaag me jarur aata hoga.


Dosto jab bhi apka phone chori hota hai ya phir hamara phone gum ho jata hai tab ham Local Service Provider se contact karke apne phone ki location ko jaan sakte hai.

And dosto aap ek baat ka jarur dhyan rakhe ki aap apna IMEI Number kisi ke bhi saath share na kare kyuki aise me agar koi hacker hai to vo apki location track ker sakta hai.Vaise to koi normal isaan apko apke IMEI Number se track nahi ker sakta bas police hi ker sakti hai agar koi bada hacker hai to bhi ker sakta hai.

# Apna IMEI Number kaise pata kare :


Dosto agar apko apna IMEI Number janna hai to aap niche diye gaye steps ko follow kare :

1.Sabse pehle aap apna phone on kare and iske baad dialer pad open kare.

2.dialer pad open ho jane ke baad apko *#06# dial karna hai.


and iske baad apke samne apke IMEI Number show ho jayege agar apke phone me 2 sim hai to apko vapa per 2 IMEI Number show hoge.

and dosto aap apne phone ka IMEI Number ko phone ki seeting jakar →about me jakar→and phir apko vaha bhi IMEI code dekhne ko mil jayega.

And dosto agar apko ye setting nahi karna hai to aapko kya karna hai sabse pehle aap apne  phone ke back cover ko open karke apni battery ko remove karke fir waha per aap apna IMEI number dekh sakte hai.

# Last Words :

Dosto aaj hamne IMEI Number ke baare me bahut jankari li and me ummed karta hu ki apko hamare dwara di gayi janakri pasand aayi hogi.Dosto abhi bhi agar apka IMEI Number ko lekar koi doubt hai to aap hame niche comment karke bata sakte hai

Dosto iss article ko padne ke liye dhnyavad agar apko article pasand aaya ho to aap hame niche comment karke bata sakte hai.

Thursday, 10 January 2019

IP Address ya hai or Apna IP Address Kaise Pata Kare ?


Hello dosto kaise ho aap sabhi log welcome to JTMkaro ! Dosto aaj ke iss article me ham IP address ke baare me puri jankari lene wale hai ki IP Address kya hai and iske kitne types hote hai aur bhi bahut saari jankari apko milegi iss article me IP Address ki .

Dosto Aaj ham sabhi log internet se jude hue hai.Koi internet business ke liye use karta hai to koi apne personal use ke liye internet ko use karta hai.Dosto per aapne kabhi socha ki itne saare log aaj ke time me internet ko use ker rahe hai jiski counting bhi nahi ki ja sakti.

But dosto kya aapne kabhi socha ki itne saare internet users ko kon sambhalta hoga and itne saare users ki pehchan kaise hoti hogi kya apne ye kabhi socha to chaliye aaj inn hi questions ke answers ko acche se samjhte hai.

# IP Address Kya Hai :
IP Address Kya Hai :

Dosto sabse pehle me aapko bata du ki IP Address ka full form INTERNET PROTOCOL ADDRESS hota hai.Dosto Jitne bhi ham devices chalate hai jisme internet chalta hai unn sab devices ka ek id hota hai uss id ko ham ip address kehte hai.

Dosto kya aapne kabhi socha ki internet se aap kuch search karte ho to apko vo hi information hi kyu milti hai koi aur information kyu nahi milti dosto aisa isliye hota hai kyuki jab bhi aap kuch search karte ho internet per to apka ip ISP (Internet Service Provider) Tak bhejta hai and phir apko ISP ko apke IP address ko pata chalta hai aapne kya search kiya hai and apko kya information show karna hai.

Dosto IP address hamesha sabka unique rehta hai means sabka same nahi rehta sabhi devices ka ek alag ip hota hai and ye ip baar baar change hota rehta hai.Maan lijiye ki aap apne phone me internet chala rahe hai and baad me aapne apne internet ko band ker diya and ab aap agar dusri baar apne internet ko open karege to apka ip address pehle se alag hoga.

Dosto jab internet ke dwara koi hacking ya koi galat kaam kiya jata hai to police uss admi ka pata IP address se hi lagati hai means apke IP address se aap tak pahucha jaa sakta hai.

Dosto abhi tak hamne jana ki IP address kya hota hai ab ham jante hai ki IP Address ke versions ke baare me 

# Verions Of IP :

Dosto IP ke two versions hote hai IPv4 aur IPv6 to chaliye inke baare me puri jankari lete hai 

IPv4 :

Dosto IPv4 ka pura naam Internet Protocol Version 4 hai  and dosto ye internet protocol ka fourth version hai.Dosto IPv4 32-bit ka IP hota hai.Dosto IPv4 ek connection less protocol hai jika use packet switch network me kiya jata hai.

Dosto IPv4 ka use network me data packets ko host device se destination tak delivery karne me kiya jata hai.

IPv6 :

Dosto aajkal internet ka use din per din bhadta jaa raha hai aise me ye pareshani thi ki kahi jyada user ke karan future me IP address khatam na ho jaye isliye IPv4 ka new version banaya gaya jiska naam IPv6 rakha gaya.

Dosto IPv6 ka pura naam Internet Protocol Version 6 hai and ye IPv4 ka upgraded version hai and isme kafi advance features hai.IPv6 128-bits ka IP hota hai.

IPv6 ko Internet Engineering Task force {IETF} ke dwara IPv4 ke exhaustion problem ki wajah se baad me IPv6 ko banaya gaya tha.

# Types Of IP Address :

Dosto IP address ke baare me abhi tak hamne bahut kuch jana jaise ip address kya hota hai and inke versions ke baare me bhi hamne abhi jana.To dosto ab ham baat karne wale hai ki kitne Types ke IP Address hote hai.

1.Private IP Address
2.Public IP Address
3.Static IP Address
4.Dynamic IP Address

To chaliye dosto ab inn IP Address ke types ke baare me thoda detail me baat karte hai:

1.Private IP Address :

Dosto jab ham koi computer,laptop,ya phir koi another device ko ek dusre se connect karte hai chahe vo wire se kare ya wireless tab inke beech ek network ban jata hai jo ki private network hota hai and inn private network ke beech me files ya phir koi other thing ko tranfer karne me ek unique id ban jata hai issi ID ko ham 'Private Ip Address' kehte hai.

2.Public IP Address :

Dosto Public IP Adress vo address hota hai jo hame ISP(Internet Service Provider ) Se milta hai and dosto jo aap normally apne pc ya mobile ya phir koi dusre device me internet chalate ho to jo apka IP Address Create hota hai vo 'Public IP Address' kehlata hai.Ye address pure internet per apka ek unique address hota hai.

Public IP Address Apko internet per devices se communication ka rasta deta hai.Jiase ki ham kuch bhi internet per search karte hai to usko ISP tak pahuchata hai and phir vo information hame deta hai.

3.Dynamic IP Address :

Dosto jo bhi IP Address DHCP Servers ke dwara assign kiya jata hai unn IP Adress ko ham 'Dynamic IP Address' kehte hai.

4.Static IP Address :

Dosto agar kisi device me DHCP enable nahi hota to apko ip address ko manually assign karna padta hai and unn IP ko ham 'Static IP Address' kehte hai.

# Apna IP Address kaise check kare :

Dosto agar apko apne pc ki private IP ke baare me jankari chahiye to niche diye gaye steps ko follow kare :

Step1 - Sabse pehle Start menu per click kare and uske baad RUN open kare.


Step2 - Iske baad Run me CMD Type kare.


Step3 - CMD open ho jaane ke baad usme  'ipconfig' type kare.  



and dosto ab apko apni private ip address dikh jayega and agar apko apni public id dekhna hai vo bahut hi simple hai.

Sabse pehle aap Google per jaiye and vaha per apko type karna hai 
' What Is My IP ? ' and iske baad google apko apki public ip dikha dega jaisa ki aap niche screenshot me dekh sakte hai.

# Last Words:

Dosto aaj hamne apko IP Address ke baare me puri jankari dene koshish ki and hame puri umeed hai ki apko ip address ke baare me pura samajh aa gaya hoga.Dosto iss article ko read karne ke liye apka bahut bahut dhanyavad agar apka IP Address se releated koi bhi question ho to aap hame niche comment karke bata sakte hai.Thankyou:)

Tuesday, 8 January 2019

whatsapp Kya hai and Full History Of Whatsapp

whatsapp Kya hai and Full Hisotry Of Whatsapp

hello dosto welcome to JTMkaro! Dosto aaj me apko batauga ki whatsapp kya hai??kaise banaya? and aur bhi kai chije whatsapp ke baare me to chaliye shuru karte hai.

Dosto aksar ham whatsapp ko use karte rehte hai ya phir agar aap whatsapp ko use nahi karte hai to apne dusro ko to jarur dekha ho hoga kyuki agar aaj duniya me 100% log hai to 99% log aaj whatsapp ka use ker rahe hai.

And dosto pehle to sirf whatsapp android and ios operating system me hi chalta tha but ab aap isse pc me bhi use ker sakte hai itna hi nahi aajkal to feature phones me bhi apko whatsapp dekhne ko mil jayege jaise Jio phone,Micromax Bharat and aur bhi kai ais feature phone me apko whatsapp dekhne ko mil jayega.

Per dosto kya apne kabhi socha ki whatsapp ki shuruat kab aur kaise hui aur kab bana aur whatsapp ko bananae ka idea dimaag me aaya .


to sabse pehle hum jante hai ki whatsapp kya hai???


whatsapp ek free messanger application he.whatsapp se hum ghar bethe apne ghar,family,friends,business etc. se jude reh sakte hai.hum world ke kisi bhi kone me bhetker kisi ko bhi image,audio,pdf,videos etc. bahut si chize bhej sakte hai.


whatsapp kisne banaya?


whatsapp ki suruat 2009 me Jan Koum aur Brian Acton ke dubara ki gayi thi.whatsapp banane me Jan Koum aur Brian Acton ka bahut bada yogdan tha.koum aur Acton yahoo company ke employe hua karte the.kaum ne whatsapp ka ye naam isliye rakha kyuki ye naam "WHAT'S UP" se milta julta hai and iska matlab tha kya haal hai.

Dosto Whatsapp company ke headquarters MOUNTAIN         VIEW,CALIFORNIA,USA me hai.

Headquarters of whatsapp


Dosto whatsapp company ke CEO Jan Koum hai.ab hum baat karte hai Jan kaum aur Brian Acton.

Jan Koum:

Jan koum ek amerian internet programmer hai.Jan koum whatsapp ke co-founder the.jan koum bahut hi gareeb khandan se the.unki maa saaf safai ka kaam karti thi.18 saal ki umar me hi jan kaum ka programming me inerest tha.Jan kaum ki graduation San Jose state university me hui thi.

1997 ne Jan koum ne yahoo company ke liye infrastructure engineer ka kaam kiya.kuch samaye baad Jan Brian acton se mile.aur un dono ne 9 sal tak ek sath kaam kiya.2007 me unhone yahoo company ko chod duya.

Jan aur Brian ne facebook company me apply kiya per dono ko reject ker diya gaya and un dono ko iss baat se bahut nirasha hui and phir unhone socha kyu na khud ki company kholi jaaye.

24 february 2009 ko unn dono ne whatsapp Inc. naam ki comapny kholi californa me.

Brian Acton:

Brian acton california ke rehne wale hai aur Brian whatsapp ke co- founder hai.

Brian ki graduation computer science standford university 1994 me complete hui thi.

1998 me brian ne yahoo comapny me infrastructure engineer ka kaam kiya.doctom ke business me brian ko bahut jyada nuksan hua.wo karodo rupees haar gaye uss businees me.

kaum aur acton ne facebook comapny me apply kiya lekin vaha se un dono ko reject ker diya.

fir kuch samaye baad unhone whatsapp bana liya.whatsapp itna popular ho gaya ki whatsapp ke karan uss time facebook ko loss hone laga isliye mark zukerberg ka dhyan unki taraf gaya aur Mark Zukerberg jo ki facebook ke CEO hai unhone 2014 me US19 billion$ me whatsapp ko kharid liya.Ye facebook ki bahut badi deal thi.

And dosto iske baad Jan Koum aur Brian Acton dono billioner ban gaye and jan or brian kabhi bhi nahi chahte the ki whatsapp per advertisement deikhaya jaaye means vo dono whatsapp ko ads free rakhna chahte the jo aaj bhi follow kiya jaa raha hai isliye apko kabhi bhi whatsapp per advertisement dekhne ko nahi milte.

Dosto apne dekha ki kaise do mamuli isaan ne ek whatsapp banaya jo ki aap dekh sakte hai ki aaj kitna growth ker chuka hai shayad ye mujhe batane ki jarurat nahi hai.

Dosto iss article ko read karne ke liye apka bahut bahut dhanyavad agar apko ye article pasand aaye to niche ek comment karke jarur batana and agar aapka koi question hai to niche comment box me aap ham se puch sakte hai.Thankyou :)

Monday, 7 January 2019

Web Hosting kya hai? Aur Web Hosting Kaha Se Kharide

web hosting kya hai??aur kaha se kharide

hello dosto welcome to JTMkaro! Dosto aaj me apko batauga ki hosting kya hai aur kaha se kharide.website aur blog ko chalane ke liye hosting jaruri hoti hai.

Dosto agar apke paas koi website hai ya phir aap koi blog chalate hai to apko jarur padti hai hosting ki kyuki hosting se hi ham apne website ya blog ko internet per la sakte hai.Dosto aaj me apko hosting ke baare me A to Z puri detail dene wala hu to chaliye jante hai hosting ke baare me.

sabse pehle me apko internet ke baare me batauga kyuki internet ke baare me janne ke baad hi apko pata chalega ki hosting kya hai.

internet duniya bhar ke computers ka ek juda jaal hai.internet ka matlab he ek-dusre se jude rehna.jaise manlo ki aap jaise agar kisi se data recieve ya transfer karte ho to un dono computers ke bich ek network ban jata he usse hum internet kehte hai.aur aisa mobile me bhi he agar kisi dusre mobile se aap apna mobile connect karoge to vo bhi internet ka part hi kaha ja sakta hai.

aajkal internet ne itni tarakki ker li he ki her computer  aaj ek dusre se connected hai jinki hum ginti bhi nahi ker sakte.hum kisi ki information nahi dekh sakte kyuki sabki personal information secure hoti hai.per agar aap kisi ki information dekhna chahe to dekh sakte hai.iske liye aaj kal bahut sare software awailable hai.

to ab tak apko pata chala ki internet kya hota hai to ab hum jante hai hosting kya hai aur kaha se kharide

#hosting kya hai??????

web hosting ek aise service hai jo hamari website/blog ki organiation or individuals  ko internet per allow karti hai.website/blog ko view karne ke liye hame ek web hosting provider ki jarurat padti hai.jo hamari website/blog ke post or pages ko internet per show karti hai.

ab jo hamari website/blog ko internet per show karta hai wo koi insaan nahi hota balki wo ek computer hota hai jo 24 hour yani hamesha chalu rehta hai.iss computer me hamari website/blog ka sara data stored hosted rehta hai.



jab koi user koi janakari padne hamari website/blog per aata hai to wo uss jankari ka address url apne pc me internet browser me open karta hai.users ke apki website/blog ke url open karte hi uska pc apke site ke server ko iski notification bhejta hai.aur apka server uss suchna ko padkar usse wo jankari available karata hai.jika usne link pen kiya tha.yeh pura kaam itne jaldi hota hai ki aap soch bhi nahi sakte.

bahut si company domain ke sath hosting dete hai.per agar apne domain kharid liya hai to app hosting server se Domain ka DNS address connect karke domain aur hosting ko ek sath jod sakte ho

to chaliye ab tak humne bahut kuch jana hosting ke baare me ab hum jante hai hosting kaha se kharide:

hosting kharidne se pehle kuch important baate:
Web Hosting


  • jis hosting comapany se aap hosting kharid rahe ho wo 24into7 support karti ho means hafte ke 7 days aur 24 hours.


  • jis hosting company se aap hosting kharid rahe ho unke costumer care apki language ko support karte ho.jaise manlo apko hosting se releated koi bhi problem aati hai to aap easily costumer care se contact karke apni problem ka solution easily puch sake.


  • hosting wali site apko better service provide karti ho.iss time sabse best hostgator or bluehost chal rahe hai.


  • apko hosting company se  acchi speed mil rahe ho.matab apki website/blog fast loading ho aur jaldi open ho.


ab aap jis hosting company se hosting kharidna chahte ho usse kharid sakte ho.me to hostgator or bluehost ko hi recommend karuga.mai apko kuch hosting provider company ke site bata raha hu  jisse app hosting kharid sakte hai.



  • www.hostgator.in
  • www.godady.com
  • www.bluehost.com
wese bahut sari site hai hosting kharidne ki but me apko yeh isliye bata raha hu kyuki ye sabse best popular site hai or inki service bahut acchi hai..

Dosto iss post ko read karne ke liye apka bahut bahut dhnyavad agar apka hosting ko lekar abhi bhi koi doubt hai to aap hame niche comment karke bata sakte hai.Thankyou:)

Sunday, 6 January 2019

Blogger Kya hai aur Blogger Ki Shuruat Kab aur Kaise hui

Blogger Kya hai aur Blogger Ki Shuruat Kab aur Kaise hui

Namaskar dosto welcome to JTMkaro! Dosto aaj ke iss article me ham baat karne wale hai ek bahut hi interesting topic ke upar jo ki hai blogger kya hai and blogger ki shuruat kisne ki aur kab ki.

Dosto aaj ke time me kafi saare log blogger platform ka use kar rahe hai and blogger se kafi acchi earning bhi ker rahe hai chahe vo google adsence se ya fir affiliate marketing se ya phir koi other source se earning ker rahe hai.

Dosto blogger Ek kafi bada platform hai ek blog ko create karne ke liye to dosto chaliye aaj ham blogger ke baare me puri jankari lete hai.


Blog kya he ? (blog ki puri jaankari)

Dosto Aaj hum 21vi satabadi me jee rahe he aur Aajkal har koi bahut jaldi jaldi taraki pana chahta he.Agar hum ek din bhi internet nahi chalayege to bahut hi bored mehsus karege.hume apne dosto , apni society ke saath jud ker rehne ke liye aaj internet ki madad leni padti he aur ye internet hame desh videsh me reh rahe hamare dosto se hame pal bar me mila deta he.


 Internet  (a great platform)

Dosto hum sab ke ander koi na koi talent hota hi he jarurat hoti he us talent ko sahi samay pe bahr nikalna aur saath saath is talent ko mehnat se seechna mean ki aur aage badana ki . Aaj humare paas ek aisa platform he jiski madad se hum apna talent poori duniya ko dekha sakte he aur ek kamayaab insaan ban sakte he. Iss platform ka naam he ‘’INTERNET’’ hum iski madad se bahut saare kaam kar sakte he agar aap ache painter he to apni painting ko dikhane k liye aapko koi exhibition lagane  ki jarurat nahi  he , aap apna Fan page bana kar apni painting logo ko dikha sakte he, agar aap singer he ya fir kisi gyan ke vidhvaan he jaise itihaas ,ganit, jeev gyan , ayurved etc , to b aap logo ko bilkul free me internet ki madad se apna talent  logo dikha sakte he apne ‘’BLOG’’ pe ye .


What is blog?



Dosto aap ko agar apna koi bhi talent duniya ko dekhana he to apke liye sabse best rehega ki aap ek Website banyaye , aur ye website aap ko bilkul free milegi. Waise to bahut se platform uplabhd hai jaise ki Tumblr, wordpress , blog etc lakin ‘BLOGGER’ sabse acha he . Google ki ye service Blogger, jiski madad se aap free me apni website bana sakte ho Google ki iss free service ko ‘’BLOGGER’’ kehte he ,aur post likhne ko blog kehte he asl me blog ka matlab hota he ‘web log’ mean jaise hum diary likhte he blog bhi waise hi he lakin is dairy mean blog ko hum publish kar sakte he(logo ko dikha sakte he) free me.

Blog ko sabse pehle pyra labs ne banaya tha ,23 august  1999 ko aur iss service ko Google ne  Feb ,2003 me kharid liya tha uske baad bahut se badlaab aye isme jaise ki may 2004 me isme cooments aur templates add ki gayi, aug 2006 me iska beta version aya , aur aaj ye BLOGGER service Alexa ranking me 40ve sathaan pe he .aaj Blogger pe hum afrikan , arbic , Bengali , Chinese ……….aur aise hi 60 languages me post likh sakte he jisme hindi bhi samil he


And dosto aap blogger per adsence,affiliate marketing and other sources ke through earning ker sake ho.

#Adsence Kya Hai :

Dosto adsence ek google ki aise service hai jiske through aap apne website per google ke ads show karwa sakte ho and agar unn ads per koi click karta hai to google apko uska paisa deta hai.

#Affiliate Marketing Kya Hai :

Dosto maan lijiye agar aap kisi person ka agar benefit karvate ho to to vo person apko comission bhi jarur dega thoda bahut theek vaise hi affiliate marketing me hai.Jaise dosto agar apne amazon ki affiliate service ko join ker liya and and apne ek amazon ka product ko apne blog me add ker diya to agar koi visitor apke blog se uss product ko puchase karta hai to amazon apko uska kuch comission deta hai bas issi ko hi ham affiliate marketing kehte hai.

Blog pe aapko bahut si details available hogi apki saari posts ki aur aap usko kabhi bhi change bhi kar sakte he  


#Functions Of Blogger

Blog pe bahut se function ya kahe options hote he jo hame apni post ache se likhne aur use publish karne me madad karta he .


1.post- ye hume hamare likhe hue content ke bare me batata he and yaha per ham apne posts ko likh sakte hai .


2.stats- ye hume batata he ki hamari posts pe kitne views he aur kitne logo ne kaha se hamari post ko read kara gaya means hamare blog ka pura traffic analysis.


3.comments- Dosto jab bhi koi visitor apke post per comment karta hai ya ker chuka to unn sabhi comments ko aap yaha per dekh sakte hai and unhe manage ker sakte hai.


4.Earnings- Dosto apke blog ki adsence earning and adsence ke ads ko yaha se manage ker sakte ho.


5.pages - Yaha per aap apne blog ke pages ko create ker sakte ho ya phir manage ker sakte ho.


6.Layout- Yaha per aap apne blog ka layout dekh sakte hai means uska look kaisa rakhna hai and change bhi ker sakte hai.


7.template- Yaha per aap apne blog ka theme change ker sakte hai ya apne theme ki HTML me koi change karna chahte ho to yaha se ker sakte ho.



8.setting - Yaha se aap apne blog ka full settings ko manage ker sakte ho.


agar post se releated koi question apko puchna hai to comment kare.

Saturday, 5 January 2019

Google kya hai google ki full history

Google kya hai aur google ki shuruat kisne ki 

Namaskar dosto welcome to JTMKaro! Dosto ham aaj ke iss article ke dwara Google Ke baare me puri jankari lene wale hai Google kya hai and Google Kab Bana aur Google ko Kisne banaya aur Aaj Google Itni badi company kaise bana.

#Google Kya Hai :

Dosto Google ki history ko janne se pehle ham ye jaan lete hai ki google akhir kar kya hai.Dosto aaj ke time mai ham internet se jude hue hai.Dinbhar ka aadha time hamara internet on rehta hai and agar ham baat ker rahe ho internet ki or 'GOOGLE' sabd na aaye aisa to bilkul bhi ho nahi sakta.Dosto aaj ke time me har phone me apko google dekhne ko mil jayega.

Dosto google world ka sabse bada search engine hai jaha per aap koi bhi question puch sakte ho and aap koi bhi jankari yaha se lo sakte ho Google apko 99.9% answer de dega.

Dosto mene 100% isliye nahi bola kyuki kuch log aise question google per puchte lete hai jo google nahi samajh pata and fir unka answer nahi mil pata.


#History Of GOOGLE?

google ek bahut bahut badi multinational company hai.google ko 4 september 1998 me Larry Page aur Sergery Brin ne Menlo Parl,California me found kiya tha.Google ke headquarters googleplex,mountain view,californa U.S me he.
GoolePlex


google ki suruat standford university ke 2 students Larry page and Surgery Brin ne ki thi uss samaye larry and surgery stanford university me  PHD student the.
standford university

uss wakt traditional search engine ki priority google ke webpage ke saath count ki jati thi.per larry aur surgery ko lagta tha ki accha search system wo hi he jo webspage ke interconnect ka analysis kare.

uss new technology ko unhone PAGE RANK ka naam diya.iss technology me kisi bhi website ki quality ke hisab se unhe rank di jati thi.roben lee ne RANKDEKS naam ka chota search engine invent kiya tha jo iss technology per kaam kata tha.fir robin ne iss technology ko patent karke ek BAIDU company ki suruat ki china me.larry aur brin ne shuru me apne search engine ka naam beckrab rakha tha.fir baad me larry aur brin ne iss search engine ka naam google rakh diya.google ka matlab tha jiske baad 100 zero ho.google ek aise comapny thi jo logo tak her type ki information pahucha dete thi.

google ka domain www.google.com 1997 ko register hua tha.google comapny ka pehla office Menlo park california me hua tha aur 1999 me lary aur sergery ne iss project ko bechne ka faisla liya aur exite comapny ke ceo GEORGE BELL ke sath 10 lakh ki deal ki.

march 1999 me google company ka office palo alto,california me shift ker diya gaya.

fir dhire dhire google company upgrade hoti gayi.

aur 23 october 2000 me adword ki suruat hui.

18 june 2003 me google ne adsence ki suruat ki ho ek add network hai.

14 february 2005 me google ne youtube ki suruat ki.

aise hi aaj hum dekhte he ki google company kitne badi company he.abhi google company ke CEO sunder pichai hai.sunder pichai tamil nadu ke rehne wale hai.sunder pichai ka janam 12 july 1972 me hua tha.


Dosto google sirf ek search engine hi nahi chalata iski aur bhi kai saari services hai jo google apne users ko deta hai

1.G-mail - Dosto iss google ki service ke through aap koi bhi file,document,ya koi text direct mail ker sakte ho.Iss service ko google ne me lauch kiya tha.

2.Android - Dosto ye ek operating system hai jo ki google dwara mobile phones ke liye design kiya gaya tha.

3.Google Adsence - Dosto ye google ki ek service hai jiske through agar apki website hai to aap uss per google adsence ke through google ke ads laga sakte ho and google iska paisa deta hai.

4.Google+ - Dosto google+ google ki ek social networking sote hai.

5.Google Adwords - Dosto agar apki koi company.service ya fir aap koi product ka advertisement dena chahte ho to iss service ke dwara aap google ko paise dekar apne advertisement google per dikha sakte ho.

6.Google Chrome - Dosto ye google company ka khud ka browser hai.

7.Google analytics - Dosto ye ek google ka tool hai jiske through agar kisi ki website hai to vo iss tool per apni website ka traffic analysis ker sakta hai.

8.Google Drive - Dosto ye google ki ek service hai jiske  dwara aap apni files and documents ko google cloud me save ker sakte ho .

9.Youtube - Dosto ye service kafi popular hai youtube per aap apne videos dal sakte ho ya fir kisi bhi prakar ke videos ko dekh sakte ho.

Dosto ye kuch google ki popular services thi.Dosto google ki aur bhi kai services hai and ab google mobile manufacturing company bhi ban chuka hai kyuki google ne kuch saal pehle apni ek samrtphone series shuru ker di hai jiska naam hai 'pixel'

Dosto aaj ke article me yahi tha umeed hai aap sabhi ko ye article pasand aaya hoga agar pasand aaya ho to ek baar comment karke jarur bata dena.Thankyou dosto :)